Monday, October 18, 2010

Door ho paya nahi woh Dooriyon ke baad bhi





Y Popey.che.tame Y


Meri ZindAgi KE
Do Hi Kaam
NAMumkin RahE
UsaY Pa Lene ki Tamanna
Aur
UsaY BhooL JanE ki khawaish.

Y Popey.che.tame Y


Aansoo mere thum jaye to phir shauq se jana
aise me kaha jaoge...barsaat bahut hai

Y Popey.che.tame Y


Main usay kaise akela chor doon is rah main
Saath jo chalta raha majboriyon ke baad bhi.
Ban ke Khusboo Raach gaya hai yun mere ehsas main
Door ho paya nahi woh Dooriyon ke baad bhi
Rafta Rafta us ko bhi ye duniya Raas aa gaye
Muskura ke Woh Mila hai Ranjishon ke baad bhi
Faasle kab kum huye hain Rabton ke bad bhi
Ajnabi thay Ajnabi hain Mohabbaton ke baad bhi.

Y Popey.che.tame Y


tumhe chahne wale kam na honge,
waqt ke sath shyad hm na honge,
tum kisi ko kitne b pyar krna,
mgar tumahri yaddo k hakdar sirf ham honge......

Y Popey.che.tame Y


Chale the wafa ki raah me akele hum,
bewafai itni mili hai ke ek manjar ban gaya...
Jane khuda ki rukhsat thi ya kismat bewafa thi,
ek phool dil se lagaya to bhi khanjar ban gaya...

Y Popey.che.tame Y


Bus yehi aadaat us ki mujhey achi lagti hai.......
Udaas ker k mujhey wo khud bhi khush nahi rehta.....

Y Popey.che.tame Y


Wo bewafa he sahi aao us ka zikar karain dost.
Abhi to umar parri hay us ko bhulanay k liye

Y Popey.che.tame Y


Na do kisi Ko apni zindgi Ka itna haq
K kuch bhi na rahe Baqi Us k rooth jane Se.

Y Popey.che.tame Y


Us Ne Mujhe Chhor Dia To Kia Hua …
Meine B To Chora Tha Sara Zamana Us K Liye

Y Popey.che.tame Y


Mere pal pal ki khabar rakhne wale,
Tu aaj mujhse bekhabar kyun hai.

Y Popey.che.tame Y


Kisi ne hume aashiq kaha,
Kisi ne hume diwana kaha….
In aankhon me aansu tab aaye,
Jab apno ne hume begana kaha….

Y Popey.che.tame Y


dilon ki kahani b kuchh ajeeb si he...
jo dil ko dard he wahi is kambakt dil ka sakoon bhi hai

Y Popey.che.tame Y


Ab Dard kitne bhi mile, hum aah na kareinge,
Magar ishq karne ka, phir gunaah na kareinge…
Ek baar Maut aaye to hans kar laga le gale se,
Kam se kam Phir hum, Kiston mein na marenge…

Y Popey.che.tame Y


Woh to deewana tha mujhe tanha chhod gaya,
Khud na ruk saka to Apna saaya chhod gaya,
Dukh nahin Gham is baat ka hai,
Aankho se kar ke waada baaton se tod gaya…

Y Popey.che.tame Y


Ye raaz kon jane kis ka qasoor tha
toota wahi sahara jis pe garoor tha
usay hai guroor ke woh kisi aur ka hai
hamein hai naaz ke woh kabhi hamara zaroor tha..

Y Popey.che.tame Y


Usse mai yaad ata hun magar fursat ke lamho’n mai,
Magar ye baat bhi sach hey uss se fursat nahi milti

Y Popey.che.tame Y


Socha tha ab na karenge unhe yaad magar....
Kuch bhi na raha yaad, jab woh yaad aaye !

Y Popey.che.tame Y


Door Hai Sahi Par Kinara To Hai
Timtimata Hi Sahi Sitara To Hai
Ho Jati Hai Tumhari Yaad Se Hi Tasalli
Tinka Hi Sahi Par Sahara To Hai

Y Popey.che.tame Y


Yun Judai Ko Mera Naseeb Na Banao
Ki Jab Tum Laut k Aao Tou Mere Paas Zndgi Na Rahe...

Y Popey.che.tame Y


Tu Ny Hi Swaar Kiya Tha Mohabbat Ki Kashti Pe
Ab Nazrain Na Chura, Mujhe Doobta Bhi Dekh..........

Y Popey.che.tame Y


Aazmana alag baat hai
kisi ko rula dena theek nahin hota.....
mulaqaat to sahi hai,
per kisi ke dil mein thehr jaana theek nahin hota.....!!!!!

Y Popey.che.tame Y


Ankho me baskar Chamak chhor jaunga...
Pehchaan apni door Talak chhor jaunga...
Khamoshiyo ki maut Gavara nahi mujhe...
Agar toota to apni Khanak chhor jaunga..

Y Popey.che.tame Y


Unko jana tha woh chale gaye!
Humko khona tha hamne khodiya!
Fark sirf itna tha usne zindagi ka ek pal khoya
aur hamne ek pal mein zindagi khodi

Y Popey.che.tame Y


Jab bhi aati hai yaad unki,
tasveer se puch lete hai haal unka..
Woh puchate the judai kya hai,
ab samaz aata hai sawal unka!

Y Popey.che.tame Y


Hamare aansu bhi unhain na khareed sake ....
Logon ki Muskurahaton ne unhain Apna bana liya

Y Popey.che.tame Y


Chalo kuch din k liye dunya chodd dete hai, , ,
suna hai ki log yaad karte hai chale jaane k baad...

Y Popey.che.tame Y


Wada kiya tha usne humse na milne ka,
Yahan bhi ki usne bewafai khwabon me aati rahi !

Y Popey.che.tame Y


Najany kiss ko pasand agai hai meri aankho ki nami....
Main hansna b chahon tu ye palkain bheeg jati hain...

Y Popey.che.tame Y


Ab tu dard sehne ke itnee aadat ho gaye hai .......
Ab jab kabhe dard nahi milta tu dard hota hai…

Y Popey.che.tame Y


mere ashkon ko bolne ka hunar de gaya hai koi
meri saanson mein apni mehak chod gaya hai koi
unki kis adaa ko mein bewafa samjhu
apni yaadon ki daulat mere naam kar gaya hai koi

Y Popey.che.tame Y


shidat-e- dard sey sharminda nahi meri wafa......
jin se rishte gehre hon wo zakham bhi gehre daite hein.

Y Popey.che.tame Y


Dard ki mehfil mein ek sher hum bhi arz karte hain
Na kisi se marham na duaon ki umeed karte hain
Kayi chehre lekar log yahan jiya karte hain
Hum in aasuon ko ek chehre ke liye piya karte hain....

Y Popey.che.tame Y


Bhegi ankhon se muskurane mai maza or hai,
Haste haste palkein bheegona mai maza or hai,
baat keh ke toh koi bhi samjh jaata hai,
khamoshi koi smjhe tou maza or hai.....

Y Popey.che.tame Y


Usko chaha to bahut magar wo mila hi nahi
Lakh koshish ki magar faasla mita hi nahi
Usko zamane ne majboor is qadar kar diya
Ke meri kisi sada pe wo ruka hi nahi
Khuda se jholi phaila ke maanga tha usay
Khuda ne meri kisi dua ko suna hi nahi
Har aik se poocha sabab uske na milne ka
Har aik ne bataya ke wo mere liye bana hi nahi
Main tamaam umar ki koshish ke bawjood nakaam ho gaya
Aur wo usko mil gaya jis ne usay kabhi maanga hi nahi
Itni shiddat se chaha magar tu kisi aur ka ho gaya
Shayad is jahan mai wafa ka koi sila hi nahi….

Y Popey.che.tame Y






Y Popey.che.tame Y

Main ne dekha tha un dinon mein ussey,
Jab Wo khilte gulaab jaisa tha,
Uski palkon se neend chanti thi,
Uska lehja khumaar jaisa tha,
Uski zulfon se bheegti thi ghata,
Uska rukh maahtaab jesa tha,
Log parhtay thay khaal o khad uske,
Wo adab ki kitaab jaisa tha,
Bolta tha zubaan khushboo ki,
Aur log suntay thay dharkanon mein ussey,
"Mein ne dekhay tha un dinon mein ussey",
Saari aankhain theen ainay uske,
Saarey chehron mein intakhaab tha wo,
Sub se ghul mil kay ajnabi rehna,
Aik darya Numa saraab tha wo,
Khuwaab yeh hai kay wo haqeeqat tha,
Ye Haqeeqat hai kay koi khuwaab tha wo,
Dil ki dharti pe asmaan ki tarha,
Soorat e saaya e sahaab tha wo,
Apni neendain us he ki nazar huween ,
Mein ne paaya tha rat jagon mein ussey,
"mein ne dekha tha un dinon mein ussey"
Jab wo hans hans kay baat krta tha ,
Dil kay khaimay mein raat krta tha,
Rang parhtay thay aanchalon mein ussey,
"mein ne dekha tha un dinon mein ussey"
Ye magar dair ki kahani hai,
Ye magar door ka fasana hai,
Uske merey milaap mein haa'il,
Ab tou saddiyon bhara zamana hai,
Ab tou yun hai k haal apna bhi,
Dasht e hijraan ki shaam jesa hai,
Aur kia khabar in dinon wo kesa hai?
Mein ne Dekha tha un dinon mein ussey
Kia khabar in dinon wo kesa hai

Y Popey.che.tame Y

No comments:

Post a Comment