Y Popey.che.tame Y
Humne waqt se bohat WAFA ki lekin,
Waqt humse BEWAFAI kar gaiya,
kuch humare NASEEB bure they,
kuch LOGON ka HUM se JEE bhar gaiya
Y Popey.che.tame Y
Chehron Main Doosro Ke Tumhain Dhoondhte Rahe
Surat Nahi Mili Kahin Seerat Nahi Mili
Bahut Der Se Aaya Tu Mere Paas Kya Kahoon
Alfaaz Doondhne Ki Bhi Mohalat Nahi Mili
Har Shakhs Zindagi Mein Bahut Der Se Mila
Koi Bhi Cheez Waqt-e-Zaroorat Nahi Mili
Hum Ko To Teri Aadat Achi Lagi
Afsos Ke Tujh Se Meri Aadat Nahi Mili..."
Y Popey.che.tame Y
Nazar ke saamne koi aks jhilmilaaye bahut
Hum unse bichde to dil mein khayaal aaye bahut
Tha unko doobte sooraj se lagaav kaisa,
Dhali jo shaam to woh yaad aaye bahut..
Y Popey.che.tame Y
needein khafa lagti hai, duniya ki har khushi adhuri lagti hai ....
unki yaadin aisi thami is dhadkan main ki ye zindagi ruki lagti hai.......
Y Popey.che.tame Y
Mein ne to us raat se Ankhen hi nahi kholi .....
Jis raat us ne kaha tha subah hote hi bhool jana mujhe
Y Popey.che.tame Y
Ek Silsile ki umeed thi mujhe jinse,
Whi fasle banate chale gye,
Hm to pass aane ki koshish me they
Jane q wo duria Bdahate chle gye.
Y Popey.che.tame Y
yeh badkismati unki hai ke ummid par duniya kayam hai..
aur yeh khusnasibi meri hai ke..ummid par duniya kayam hai.
Y Popey.che.tame Y
Teri yaad main jara Aankhe bhigo lu,
Udaas raat ki tanhai main so lu,
Akele gum ka bojh ab sambhalta nahi,
agar tu mil jaye to tujhse lipat ke ro lu
Y Popey.che.tame Y
Hum to har baat khuda par chhod dete hai..
tute na kisi ka dil apna tod dete hai..
hum b insaan hai khuda to nahi..
fir q log har tufan hamari aur mod dete he.
Y Popey.che.tame Y
wo umer bhar to saath na nibha saka mera
haan yaad ban k kbhi usne mujhe tanha nhi chorra.
Y Popey.che.tame Y
Daga Ko Ager Daga Na Kahate,
Jafa Ko Ager Jafa Na Kahate.
Kya Naam Dete Us Shakhs Ko Hum,
Bewafa Ko Ager Bewafa Na Kahate.
Y Popey.che.tame Y
Kyu rakhu me ab apni kalam me shahi
jab koi arman dil me machalta hi nahi,
Na jane kyu sabhi shak karte he mujh par
Na jane kyu sabhi shak karte he mujh par
jab koi sukha phool meri kitab me milta hi nahi,
Kashish to bahut hai mere pyar me
Kashish to bahut hai mere pyar me
magar kya karu ek patthar dil pigalta hi nahi,
Agar khuda mile to usse apna pyar magunga
Agar khuda mile to usse apna pyar magunga
magar suna hai woh marne se pehle milta hi nahi..........
Y Popey.che.tame Y
Charo taraf khamoshi ka saaya hai,
zindagi mein pyar kisne paaya hai,
hum tho yaadon mein jhoomte hai unki,
aur log kehta hai dekho aaj phir pee ke ayaa hai...
Y Popey.che.tame Y
Jindagi Bhar Jala Hun Mujhe Marne Pe Na Jalana,
Ab To Bujhna Chahta Hun Ho Sake To Paani Mein Bahana,
Jaanta hoon Ro-Ro Ke Pukaroge Tum,
Magar Hath Jodata Hun Dubara Na Bulana.
Y Popey.che.tame Y
Tu wo zalim jo dil me rahkar bhi mera na huaa
aur dil wo kafir jo mujh me rahkar bhi tera ho gya.
Y Popey.che.tame Y
Kuch sitaron ki chamak nahi jaati
Kuch yaadon ki khanak nahi jaati
Kuch logon se hota hai aisa rishta
Ke door reh kar bhi unki mehak nahi jaati..
Y Popey.che.tame Y
Meri taqdeer say pooch meri kismat ka faisla,
Meri muskurahat pe na ja mera dard talaash kar,
Ankhon say pooch mere intezaar ki had,
Itminan pe na ja mere sabr ko talaash kar,
Mere doston say pooch meri dosti ka alam,
Surat pe na ja meri seerat talaash kar..."
Y Popey.che.tame Y
Taqdeer Banane Wale,Tune B Hadh Kar Di,
Taqdeer Me Kisi Aur Ka Nam Likha,
Aur Dil Me Chahat Kisi Aur Ki Bhar Di......
Y Popey.che.tame Y
Yaadon Ke Jharokhe Mein Jab Dekhenge Tumhen,
Dil Mein Ek Toofan Sa Uthega,
Jab Ashqon Ke Saath Bahenge Armaan,
Dil Mein Ek Toofan Sa Uthega,
Agar Mil Gaye Zindagi Ke Kisi Mod Par,
Waqt Bas Wahin Thehar Jayega,
Dil Mein Ek Toofan Sa Uthega….
Yaadon Ke Jharokhe Mein Jab Dekhenge Tumhen…
Y Popey.che.tame Y
Mujhe zindagi ki dua na do
meri zindagi se bani nahin
koi zindagio per karey yaqeen
mujhey zindagi pe yaqeen nahin
yeh safar bhi kaisa safar hua
mein kabhi kahin tou kabhi kahin
mujhey jis sanam ki talash thi
woh mila magar meraa nahin
mein woh raat hoon jo katti nahin
mein woh baat hoon jo bani nahin
mujhey zindagi ki dua na do
meri zindagi se bani nahin”
Y Popey.che.tame Y
Hum Ne Zamana Chor Diya Jin Ke Liye...
Haye.. Wohi Chor Gaye Hume Zamane Ke Liye
Y Popey.che.tame Y
Sapne Hain Yadain Hai Or Bahut Kuch
Tum Ho Tumhari Batain Hain Or Bahut Kuch
Nahi Chahtay Hum Tum Ko Bhulana Magar
Doori Hai Ek Majbori Hai Or Bahut Kuch
Y Popey.che.tame Y
Phir itne mayoos kyu ho uski bewafai par....
Tum khudi to kehte the ke wo sabse juda hai..
Y Popey.che.tame Y
kiya naam likha thaa ek baar tera sahil ki reth par ...
phir umar bhar hawa se humari dushmani rahi.........
Y Popey.che.tame Y
jis din se mere yaar ne poocha mere mijaz
us din se doond ti meri khairiyat mujhe.
Y Popey.che.tame Y
Thodi hi sahi mgar ek yaad to hai,
kuch na sahi magar koi baat to hai,
na sochkar b kisi ko hm sochte hai,
nigaho se dur hi sahi koi sath to hai..
Y Popey.che.tame Y
Bus Apni Zindagi Ka Kuch Yu Fasana Hai,
Ke Use Paane ki "Aukat" Nahi Hai Aur Use Khone Ka "Hosla" Bhi Nahi..
Y Popey.che.tame Y
Ishq ke gali mein armaanon ka janaza nikalta hai
Har mehfil mein koi aashiq tanha hota hai
Yeh dard, yeh tadap zamaaney ko dikhti nahin
Aise fasaanon ka sirf Khuda gawaah hota hai.
Y Popey.che.tame Y
Ankhain khulein to jaag uthein hasratain tamam .....
Use bhi humne khoo diya jise paya thaa khawaboon main
Y Popey.che.tame Y
Kyun Rait Ki Tarah Nikal Jaate Hain Hathoon Se Woh log..
Jin Ko Hum Zindagi Samajh Kar Kabhi Bhi Khoona Nahi Chahte..
Y Popey.che.tame Y
Naa jaane kis baat pe wo hum say naraz hai....
khawab main bi milti hai to baat nahi karti ...
Y Popey.che.tame Y
Rahe ga ye gila taqdeer se hamesha ....
ki jis ko umar bhar chaha usi ko umar bhar tarsey..
Y Popey.che.tame Y
gham e ishq mein koi ro ke dikhaye zaroori to nahi......
khushk aankhon mein bhi sailaab hua karte hain......
Y Popey.che.tame Y
na jaane kya soch kar shareek hua mre janaze mein.....
jo dua karta tha meri mout ka aaj wo din aaya to kyon ro diya wo...........
Y Popey.che.tame Y
kitne nadan thay tofan ko kinara samjha,
kitne bejan saharon ko sahara samjha,
kitne kamzarf thy woh logh jo sahil pe thy
hamain doobta dekha or nazara samjha.
Y Popey.che.tame Y
Ek hi shaher me rehte hain,
phir bhi mil nahin paate hain ....
tumse to achchhe tumhaare khwaab hain,
Jo aankh band karte hi chale aate hain...”
Y Popey.che.tame Y