Monday, September 28, 2009

usne kuch khoya nahi or maine kuch paya nahi





Kyu Darein Zindagi Me Kya Hoga,
Kuch Na Hoga To Tajurba Hoga...
Hansti Aankhon Me Jhank-kar Dekho,
Koi Aansoo Kahin Chupa Hoga..!!!

Y popey.che.tame Y


mila wo bhi nahi karte,
mila hum bhi nahi karte.
daga wo bhi nahi karte,
daga hum bhi nahi karte.
unhe ruswai ka dukh,
hume tanhai ka darr.
gila wo bhi nahi karte,
shikhwa hum bhi nahi karte.
kisi modh par mulakat ho jati hai aksar.
ruka wo bhi nahi karte,
thehra hum bhi nahi karte.
jab bhi dekhte hai unhe,
sochte hai kuch kahen unse.
suna wo bhi nahi karte,
kaha hum bhi nahi karte.
lekin ye bhi sach hai,
ki mohabbat unhe bhi hai humse.
ikrar wo bhi nahi karte,
ijhar hum bhi nahi karte.

Y popey.che.tame Y

Is Qadar Chahenge Tumhe Socha Na Tha
Wo Chod Jayenge Hamein Socha Na Tha
Kuch Is Tarah Muskura Kar Baten Karte The Wo Hamse
Bewafai Bhi Wafa Se Kar Jayenge Socha Na Tha

Y popey.che.tame Y


chahkar bhi hum use bhula na sake,
jane uska ye kesa noor hai.
dil ke vo kareeb hain bahut,
nazroin se chahe kitne bhi dur hain.
chahe vo chahain kisi aur ko,
unki yadion ke hakdar hum zaroor hain.
apne dard ka ilzam kyun de unhe hum,
pyar to humne kiya hai woh to bekasoor hai......

Y popey.che.tame Y


Zindagi main hai dhoka is ke siwa kuch nahi,
... Tamasha hai yeh duniya is ke siwa kuch nahi ...

Mujh se jo log bhi mile hain khush hokar,
... In ke dilon mein hai nafrat ke siwa kuch nahi ...

Wade toh karte hai log magar jante nahi wafa karna,
... Bewafai hai is duniya mein is ke siwa kuch nahi ...

Pal main jisse chaha usse pal main bhula diya,
... Yeh khel hai duniya ka is ke siwa kuch nahi ....!!

Y popey.che.tame Y

Sannaton Ka Shor hai, Tanhaiyon Ka Mela Hai
Phir Bhala Main Kyon Kahun Ye Dil Akela Hai

Y popey.che.tame Y

Ajnabi shaher ke ajnabi raste ,
Meri tanhai par muskuratey rahe ,
Main bahut door tak yunhi chalta raha ,
Tum bahut der tak yaad aatey rahe


Y popey.che.tame Y


toot kar chaha jisey wo laut kar aya nahi
mere dil ko us k siwa koi bhaya nahi
pyar ki sodagari me hum barabar he rahy
usne kuch khoya nahi or maine kuch paya nahi

Y popey.che.tame Y

lamho mein jo kat jae wo kya jindagi
aansuo mein jo beh jae wo kya jindagi
jindagi ka to falsafa hi kuch aur hai
jo har kisi ko samajh aae wo kya jindagi


Y popey.che.tame Y


Hatheli Saamne Rakhna,
Ke Sab Aansoo Gire Usme…
Jo Ruk Jaayega Honthon Par,
Samajh Jaana Ke “Wo Hum Hain”.

Jo Chal Jaaye Hawa Thandi,
To Aankhen Band Kar Lena
Jo Jhonkaa Tez Ho Sabse,
Samajh Jaana Ke “Wo Hum Hain”.

Jo Jyaada Yaad Aaun Main,
To Ro Lena Jee Bhar Ke…
Agar Hichki Koi Aaye,
Samajh Jaana Ke “Wo Hum Hain”.

Agar Tum Bhoolna Chaaho,
Mujhe Shaayad Bhulaa Do Tum…
Magar Jab Saans Lena Tum
Samajh Jaana Ke “Wo Hum Hain”.

Y popey.che.tame Y


mahfil me hasna mazak ban gaya
tanhai me rona raj ban gaya
dil k dard ko chehre se zahir na hone diya
yahi zindagi jine ka andaz ban gaya...

Y popey.che.tame Y

kitabo k panno ko palat kar sochta hu...
yu palat jaye meri zindagi to kya baat hai...

khawabo meo roz milti hai jo...
hakikat mei mil jaye to kya baat hai...

kuch matlab k liye dhundte hai mujhko...
bin matlab jo aaye to kya baat hai...

katal kar k to sab le jayenge dil mera...
koi baaton se le jaye to kya baat hai...

jo sharifo ki sharafat mei baat na ho...
ek sharabi keh jaye to kya baat hai...

apne rehne tak to khusi du sabko...
agar kisi ko meri maut pe khusi mil jaye to kya baat hai

Y popey.che.tame Y


1 comment:

  1. Great shayari!

    As per your pointer, the faulty map of India has been removed from my blogsite , with due apologies to the nation. The oversight is regretted!

    ReplyDelete