Saturday, April 15, 2006

koi waada nahi phir bhi tera intezaar hai







Y Popey.che.tame Y
ehsaas bahut hoga jab chod ke jayenge
royenge bahut magar aansoo nahi aayenge
jab saath koi na de to awaaz hame dena
aasma par honge to bhi laut ka aayenge

Y Popey.che.tame Y
aankho mein tera aks utaar lenge
khusi tujhko deke gam udhaar lenge
tere jaane ke baad jab aayegi teri yaad
tere khayalo mein hi waqt gujaar lenge

Y Popey.che.tame Y
kabhi patjhad mein bahar aati hai
kabhi bahar mein bhi phool nahi khilte
kisi ki laash par banta hai tajmahal
kisi ki laash ko kafan nahi milte

Y Popey.che.tame Y
waqt to hame bhula chuka hai
kahi muqaddar bhi na bhjula de
pyaar hum isliye nahi karte
kyunki darte hain koi phir se na rula de

Y Popey.che.tame Y
ulfat mein kabhi ye haal hota hai
aankhen hansti hai magar dil rota hai
maante hai jise hum manzil apni
humsafar uska koi aur hota hai

Y Popey.che.tame Y
chirago se andhere door ho jaate to chaand ki chahat hame nahi hoti
agar kat sakti ye zindagi akele to hame aapki zarurat nahi hoti

Y Popey.che.tame Y
hansi ne labo pe thirakna chhod diya hai
khwabo ne palko pe aana chhod diya hai
aati nahi ab to hichkiya bhi
shayad aapne bhi yaad karna chhod diya hai

Y Popey.che.tame Y
utre jo zindagi teri gehraiyo mein
hum mehfil mein rahkar bhi rahe tanhaiyo mein hum
deewangi nahi to aur kya kahe
insaan dhoondhte rahe parchayion mein hum

Y Popey.che.tame Y
sawaal pani ka nahi pyaas ka hai
sawaal maut ka nahi saans ka hai
pyaar to bahut hai duniya mein
lekin sawaal pyaar ka nahi vishwaas ka hai

Y Popey.che.tame Y
jawani ko zindagi ka nikhaar kahte hai
patjhad ko chaman ka majdhar kahte hai
ajeeb chalan hai duniya ka yaaro
ek dhokha hai jise hum sab pyaar kahte hai

Y Popey.che.tame Y
har baat ka matlab inkaar nahi hota
har jagah par baithna intezaar nahi hota
yun to milti hai hazaron se nazar
har nazar ka milna pyaar nahi hota

Y Popey.che.tame Y

raaston se kankar hata nahi sakte
apni pehchaan unko bata nahi sakte
zindagi ki raah mein bane the humsafar
kyun wo ye pyaar nibha nahi sakte

Y Popey.che.tame Y

maine us se kuch kaha to nahi hai
magar haal us se chupa to nahi hai
kyun aise chup hai wo judai ke waqt
kahi pyaar usne bhi kiya to nahi hai

Y Popey.che.tame Y

mere daman ko khusiyon ka nahi intezaar
gam ka khazana jo isko beshumaar mila hai
wo kamnaseeb hai jinhe mehboob mil
gaya
main khusnaseeb hoon mujhe intezaar mila hai

Y Popey.che.tame Y

khusboo ki tarah aapke paas bikhar jayenge
sukoon banke aapke dil mein utar jayenge
mehsoos karne ki koshish to keejiye
door hue bhi to paas nazar aayenge

Y Popey.che.tame Y
aisa nahi hai ki aap yaad nahi aate
khata sirf itni hai ki hum batate nahi
chahat aapki anmol hai hamare liye
samajhte ho aap isliye hum jatate nahi

Y Popey.che.tame Y

har naam sareaam pukara nahi jaata
har naam yun hi kagaz pe utara nahi jaata
hoti hai is khel mein kuch raaz ki baatein
aise hi is khel mein haara nahi jaata

Y Popey.che.tame Y

do dilo ki dastaan tumhe kaha kubool thi
meri wafaye kasme tumhare liye fizool thi
koi aas nahi baaki par itna bata do
kya tumhe chahna hi hamari bhool thi

Y Popey.che.tame Y

koi waada nahi phir bhi tera intezaar hai
judai ke baad bhi tujhse pyaar hai
tere chhre ki udaasi de rahi hai gawahi
mujhse milne ke liye to bhi bekaraar hai

Y Popey.che.tame Y

aaj bhi kai sawaal hai is dil mein
pyaar ka gam bejubaan hai is dil mein
kuch kah nahi paata ye dil magar
us dil ke liye aaj bhi pyaar hai is dil mein

Y Popey.che.tame Y

banke ajnabi mile the is zindagi ke safar mein
in yaadon ke lamho ko kabhi bhulayenge nahi
agar yaad rakhna fitrat hai aapki
to bhool jaana nahi hai aadat hamari

Y Popey.che.tame Y

wo pyaar jo haqikat mein pyaar hota hai
zindagi mein sirf ek baar hota hai
nigahon ke milte milte dil mil jaaye
ye ittefaq sirf ek baar hota hai

Y Popey.che.tame Y

aana meri kabra pe do phool chadha dena
agar rona na aaye to gam mein muskura dena
hum se hui bhool ki aapki mehfil mein aa baithe
zameen ke khaak the aasma se dil laga baithe

Y Popey.che.tame Y

dard se dosti ho gayi yaro
zindagi bedard ho gayi yaaro
kya hua jo jal
gaya aashiana hamara
door tak roshni to gayi yaaro

Y Popey.che.tame Y

aye palak tu band ho ja
khwabo mein unki
surat to nazar aayegi
intezaar to subah dubara shuru hoga
kam se kam raat to khusi se kat jayegi

Y Popey.che.tame Y

main tumhare baare mein kitna sochta hoon
sochta hoon kyun main itna sochta hoon
kitna kuch hai tumhe lekar sochne ko
ki har baar hi kuch naya sochta hoon

Y Popey.che.tame Y

tere hote hue bhi tanhai mili hai
wafa karke bhi bewafai mili hai
jitna dua ki tumhe paane ki
us se zyada teri judai mili hai

Y Popey.che.tame Y

dil ke zakhmo ko unse chupana pada
palke bheegi thi par muskurana pada
kaise ulte hai mohabbat ke ye riwaaz
roothna chahte the par unko manana pada

Y Popey.che.tame Y

nafrat thi meri zindagi se to ulfat kyun ki
dena tha zahar to mohabbat kyun ki
dete ho zahar to kahte ho peena hoga
peete hai zahar to kahte ho jeena hoga

Y Popey.che.tame Y

hum phir bewafa se rishta bana baithe
phir unki saadgi se dhokha kha baithe
pathroon se talukaat hai apna
phir bhi sheese ke ghar bana baithe

Y Popey.che.tame Y

akela sa mehsoos karo jab tahhai mein
yaad meri jab aayegi judai mein
mehsoos karna tere paas hi hoon main
jab chahe dekh lena apni parchai mein

Y Popey.che.tame Y
kuch bikhre sapno se aankh mein nami hai
ek chota sa aasma aur umeedo ki zami hai
yun to sab kuch hai zindagi mein
bas jise chahte hai usi ki kami hai

Y Popey.che.tame Y
hum nazron se door hai aankhon se nahi
hum khwabon se door hai khayalon se nahi
hum dil se door hai dhadkan se nahi
hum aapse door hai aapki yaadon se nahi

Y Popey.che.tame Y
apna wo nahi jo paas aa gaya
paraya wo nahi jo door chala
gaya
aane jaane se nahi bante apne paraye
apna wo hai jo dil mein sama
gaya

Y Popey.che.tame Y
ek bewafa ko jeene ka sahara smajh liya
pathhar ko aankho ka taara samajh liya
apna hi tha kasoor jo toofan mein phans gaye
ek lahar thi jisko kinara samajh liya

Y Popey.che.tame Y
apni aankho ke samundar mein utar jaane de
tera mujrim hoon mujhe doob ke mar jaane de
zakhm kitne teri chahat se mile hai mujhko
soochta hoon kahoon tujhse par jaane de

Y Popey.che.tame Y
mere muh par kafan na daalo
mujhe aadat hai muskurane ki
meri laash ko na dafnana
mujhe umeed hai unke aane ki

Y Popey.che.tame Y
agar talaash karo to koi mil hi jayega
magar hamari tarah tumhe kaun chahega
tumhe jaroor koi chahton se dekhega
magar wo aankhen hamari kahan se layega

Y Popey.che.tame Y
kisi na kisi pe kisi ko aitbaar ho jaata hai
ajnabi koi shaks yaar ho jaata hai
khoobiyon se bhi nahi hoti mohabbat sada
khamiyon se bhi aksar pyaar ho jaata hai

Y Popey.che.tame Y
toote hue taare ko dekhkar maine kaha
aye dil maang le tu bhi fariyaad koi
par dil se awaaz aai
ki jo khud toot raha hai kaise poori karega wo fariyaad koi

Y Popey.che.tame Y
ishq wale aankhon aankhon ki baat samajh lete hain
sapno mein mil jaaye to mulakaat samajh lete hai
rota to aasman bhi hai apni dharti ki judaai mein
magar log uske aansuon ko barsaat samajh lete hai

Y Popey.che.tame Y
ye dekha hai humne aajmakar
log aksar dhoka dete hai kareeb aakar
kehti hai ye duniya par ye dil nahi maanta
ek din chod jaoge aap bhi hume apna banakar

Y Popey.che.tame Y
aap se door hum kaise rah paate
dil se aapko kaise bhula paate
kaash ki aap saanso ke alawa aaine mein bhi base hote
khud ko bhi dekhte to aap nazar aate

Y Popey.che.tame Y
ek din hamare aansoo humse pooch baithe
aap hume roj roj kyun bulate ho
humne kaha hum yaad to unhe krte hai
phir aap kyun chale aate ho

Y Popey.che.tame Y
jisne humko chaha usey hum chah na sake
jise chaha usey pa na sake
yun samajh lejiye dil todne ka khel hai
kisi ka toda par apna bacha na sake

Y Popey.che.tame Y
na jaane kaun si baat aakhri hogi
na jaane kaun si raat aakhri hogi
karna hai to kar lo ji bhar ke baatein
na jaane kaun si saans aakhri hogi

Y Popey.che.tame Y
saath chor ke kabhi humse juda mat hona
wafa chahiye tumse kabhi bewafa mat hona
ruthe chahe saari khudai humse
magar tum humse kabhi khafa mat hona

Y Popey.che.tame Y
na jaane kyun abhi ek aansu aankh se jhalka
dil ko shayad tumhari yaad aayi
chahat hai itni tumse milne ki
hanste hui bhi aankh bhar aayi

Y Popey.che.tame Y
har khusi kam hai tera gam bhulane ke liye
ek tera gam hi kaafi hai mujhe umra bhar rulane ke liye

Y Popey.che.tame Y
sabhi nagme saaz mein gaaye nahi jaate
sabhi log mehfil mein bulaye nahi jaate
kuch paas rahkar bhi yaad nahi aate
kuch door rahkar bhi bhulaye nahi jaate

Y Popey.che.tame Y
har ek muskurahat aasaan nahi hoti
nafrat ho ya mohabbat aasaan nahi hoti
aansu gam ke aur khusi ke ek jaise hote hai
par unki pehchaan aasaan nahi hoti

Y Popey.che.tame Y
chand par kaali ghata chhayi to hogi
sitaro ko muskurahat aati to hogi
tum lakh chupao duniya se
magar akele mein meri yaad tumhe aati to hogi

Y Popey.che.tame Y
jiyo itna ki marna mushkil ho jaaye
hanso itna ki rona mushkil ho jaaye
kisi ko chahna aachchi baat hai
magar itna bhi na chaho ki bhulana mushkil ho jaaye

Y Popey.che.tame Y
mujhe bhulane ki koshish mat karna
ki ab bhula nahi paoge
yaad karte rehna mujhe hamesha
ki ek din jaroor bhool jaoge

Y Popey.che.tame Y
na jaane ye aankhen kyun udaas rahti hai
na jaane inhe kiski talaash rahti hai
ye jaankar bhi ki wo kismat mein nahi hai
phir bhi unhe paane ki aas rahti hai

Y Popey.che.tame Y
pyar chupta nhi ankhen chupane se
dil rukta nhi kisi ke samjhane se
ruk jati hai dhadkan tujhe bhul jane se
hum tujhe yaad karte hai jeene ke bahane se..

Y Popey.che.tame Y
Log kahte hai ki jise hum chahte hai wo chand ka tukda hai
par main to ye kahta hoon ki jise main chahta hoon chand uska ek tukda hai

Y Popey.che.tame Y
zindagi ke kisi mod par khud ko tanha na samajhna
main tere saath hoon mujhe khud se juda mat samajhna
umra bhar tera saath dene ka waada kiya hai
zindagi ne saath na diya to bewafa mat samajhna

Y Popey.che.tame Y
surkh aankhon se jab wo dekhte hai
hum ghabrakar aankhen jhuka lete hai
kaun milaye un aankhon se aankhen
suna hai wo aankhon se apna bana lete hai

Y Popey.che.tame Y
ek lamhe mein unhone hamari zindagi sawaar di
ek lamhe mein unhone hamari zindagi ujaar di
kasoor unka nahi hamara hi tha
jo in do lamho mein humni apni zindagi gujaar di

Y Popey.che.tame Y
aapki bad-dua bhi dua ban ke lagi
aapke har gam ne bhi sukoon diya
hum zinda hai ye jaankar
ki pyar se na sahi par aapne hume yaad to kiya

Y Popey.che.tame Y
humne maanga tha saath unka
par wo judai ka gam de gaye
hum yaadon ke sahare ji lete
par wo bhool jaane ki kasam de gaye

Y Popey.che.tame Y
tum kya jaano pyar ne humko kya kya khel dikhaye
yun sharmai kismat humse,khud se hum sharmaye
baaghon ko to patjhad ne loota,
loota hume bahar ne
duniya marti maut se,humko maara pyaar ne

Y Popey.che.tame Y
jab dil ne kuch kehna chaha zubaan na mili
jab zubaan ne kuch kehna chaha daasta na mili
aisa nahi hai ki is duniya mein mohabbat hi nahi
bas jaha humne chaha waha nahi mili

Y Popey.che.tame Y
kabhi pade meri zarurat to awaaz de dena
yaad aane lage ye
surat to awaz de dena
dekh lo jaan lo saari duniya ko tum
agar kahin na mile mohabbat to awaaz de dena

Y Popey.che.tame Y
har mehfil mein mujhe tanhai nazar aati hai
apna saaye mein bhi teri parchai nazar aati hai
doobta jaata hoon main jitna teri nigaaho mein
mujhe utni hi zyada gehraai nazar aati hai

Y Popey.che.tame Y
tumhari har ek baat bewafai ki kahani hai
lekin teri har saans meri zindagi ki nishani hai
tum aaj tak samajh nahi sake mere pyar ko
isliye mere aansoon bhi tere liye pani hai

Y Popey.che.tame Y
khud apne liye baith ke sochenge kisi din
armaan hai tujhe bhool ke dekenge kisi din
bhatakte hue phirte hai kai lafz is dil main
duniya ne diya waqt to kahenge kisi din

Y Popey.che.tame Y
aarzoo hai door se dekhne ki
kareeb aana bhi nahi chahte
tamanna nahi hai tumhe paane ki
magar khona bhi nahi chahte

Y Popey.che.tame Y
Khamosi ka matlab inkaar nahi hota
ashafalta ka matlab haar nahi hota
kya hua agar hum usey pa nahi sake
sirf paane ka matlab hi pyaar nahi hota

Y Popey.che.tame Y
apni taqdeer mein hum mohabbat maangna bhool gaye
dil to maanga par dildaar maangna bhool gaye
humne to dil kisi ko de diya
par badle mein dil maangna bhool gaye

Y Popey.che.tame Y
manzilen unko milti hai
jinke sapno mein jaan hoti hai
pankh to ek jariya hai
hoshlon se udaan hoti hai

Y Popey.che.tame Y
soch ko badlo sitare badal jayenge
nazar ko badlo nazare badal jayenge
kashtiya badalne ki zarurat nahi
dishaon ko badlo kinare badal jayenge

Y Popey.che.tame Y
khuda ne jab ishq banaya hoga
to khud ne bhi zaroor aajmaya hoga
hamari to aukaat hi kya
is ishq ne khuda ko bhi khud rulaya hoga

Y Popey.che.tame Y
kashish honi chahiye kisi ko yaad karne ki
lamhe to apne aap hi mil jaate hai
waqt hona chahiye kisi ke saath gujaarne ke liye
bahane to apne aap mil jaate hai

Y Popey.che.tame Y
mujhe pyaar karne ka mazaa maloom hai
mujhe pyaar karne ki sazaa maloom hai
umra bhar muskurane ki dua mat dena
mujhe pal bhar muskurane ki sazaa maloom hai

Y Popey.che.tame Y
koi kuch bhi na kahe to pata kya hai
is bechain khamosi ki wajah kya hai
unhe ja kar kahe koi hum pee lenge zahar bhi
wo sirf itna bata de ki meri khata kya hai

Y Popey.che.tame Y

shararat na hoti shikayat na hoti
aankho mein kisi ke nazakat na hoti
na hoti bekarari na hote hum tanha
agar jahan mein kambhakt ye mohabbat na hoti

Y Popey.che.tame Y
hum dosti ka farz yun hi nibhate rahenge
waqt bewaqt aapko satate rahenge
dua karo ki umar lambi ho hamari
warna yaad bankar zindagi bhar rulate rahenge

Y Popey.che.tame Y
wo jo deewani thi mujhe tanha kaise chhor gayi
dukh na sahi gam is baat ka hai
aankho se waada karke hontho se tod gayi

Y Popey.che.tame Y
pal pal tarsa hoon is pal ke liye
ye pal aaya bhi to kuch pal ke liye
socha tha ise zindagi ka ek haseen pal bana lu
par ye pal thehra bhi to kuch pal ke liye

Y Popey.che.tame Y
aye khuda tu ishq na karna warna pachtayega
hum to mar kar tere paas aate hai
tu mar kar kahan jayega

Y Popey.che.tame Y
hasane ke baad kyun rulati hai ye duniya
jaane ke baad kyun bhulati hai ye duniya
zindagi mein kya koi kasar baaki thi
jo marne ke baad bhi jalati hai ye duniya

Y Popey.che.tame Y
toote hue paimaane par jaam nahi aata
ishq ke mareez ko aaraam nahi aata
aye dil todne wale ye to socha hota
toota hua dil kisi ke kaam nahi aata

Y Popey.che.tame Y
zindagi mein kuch na mila hume to kya gam hai
aapka pyaar mila hume ye kya kam hai
aapke dil mein ek chhoti si jagah pa loon
to wo jagah bhi kya tajmahal se kam hai

Y Popey.che.tame Y
dooriyon ki na parwah kiya keejiye
dil jab bhi pukare bula liya keejiye
aye dost hum jyaada door nahi aapse
bas apni palkon ko mila liye keejiye

Y Popey.che.tame Y
kaanch chubhe to zakhm rah jaata hai
dil toote to armaan rah jaata hai
laga to deta hai waqt marham is dil par
phir bhi umra bhar nishaan rah jaata hai

Y Popey.che.tame Y
har dil ka ek raaz hota hai
har baat ka ek andaaz hota hai
jab tak na lage bewafai ki thokar
har kisi ko apne pyaar par naaz hota hai

Y Popey.che.tame Y
ek alag pehchaan banane ki aadat hai
humein zakhm jitna gehra ho utna muskurane ki aadat hai
hum sab kuch luta dete hai pyaar mein
kyunki humein pyaar nibhane ki aadat hai

Y Popey.che.tame Y
jab bhi khayal aaya tera aaya
aankhen band ki to khwaab tera aaya
socha yaad kar loon khuda ko do pal
honth khule to naam tera aaya

Y Popey.che.tame Y
mere janaze mein sab log nikle
saara sahar peeche nikla
par wo hi nahi nikle
jinke liye mera janaza nikla

Y Popey.che.tame Y
aksar jab hum kisi ko yaad karte hai
apne rab se yahi fariyaad karte hai
umra hamari bhi lag jaaye unko
khud se zyada jinko hum pyaar karte hai

Y Popey.che.tame Y
hum agar aapse mil nahi paate
aisa nahi ki aap hume yaad nahi aate
maana jahan ke saare rishtey nibhaye nahi jaate
par dil mein jo bas jaate hai wo bhulaye nahi jaate

Y Popey.che.tame Y
pyaasi nigahon ne har pal unka deedar maanga
jaise amawas ne har raat chand maanga
rooth
gaya wo khuda bhi humse
jab humne apni har dua mein unka saath maanga

Y Popey.che.tame Y
barbaad kar gayi wo zindagi pyaar ke naam pe
bewafai mil gayi wafa ke inaam pe
zakhm hi zakhm de gayi wo dava ke naam pe
khuda bhi ro para meri mohabbat ke anjaam pe

Y Popey.che.tame Y
dard ko dekhye na dard se
dard ko bhi dard hota hai
dard ko bhi zarurat hai pyaar ki
aakhir pyaar mein dard hi to hamdard hota hai

Y Popey.che.tame Y
sirf chahne se mulakaat nahi hoti
suraj ke saath kabhi raat nahi hoti
hum jise chahte hai jaan se bhi zyada
saamne hote hai par baat nahi hoti

Y Popey.che.tame Y
kitne log the tumhare zanaze ke peeche
ek main hi nahi tha tumhare zanaze ke peeche
main hota bhi kaise tumhare zanaze ke peeche
mera zanaza jo ja raha tha tere zanaze ke peeche

Y Popey.che.tame Y
humne bhi chaha har manzil kareeb ho
har waqt aapka saath naseeb ho
par wahan khuda bhi kya kare
jahan insaan khud badnaseeb ho

Y Popey.che.tame Y
ishq sabhi ko jeena sikha deta hai
wafa ke naam par marna sikha deta hai
ishq nahi kiya to kar ke dekho zalim
har dard sehna sikha deta hai

Y Popey.che.tame Y
sitam ko humne berukhi samjha
pyaar ko humne bandagi samjha
tum chahe jo bhi samjho
par humne to tumhe apni zindagi samjha

Y Popey.che.tame Y
khuda se thoda raham khareed lete
aap ke zakhmo ka marham khareed lete
agar kahin bikti khusiyan meri
to saari bechkar aapke har gam khareed leta

Y Popey.che.tame Y
zamane se nahi hum tanhai se darte hain
pyaar se nahi hum ruswai se darte hain
dil mein umang thi tumse milne ki
par
milan ke baad ki judai se darte hain

Y Popey.che.tame Y
muskura do zara khuda ke vaaste
mehfil mein kuch roshni kam hai
tum hamare nahi to kya gam hai
hum tumhare to hai ye kya kam hai

Y Popey.che.tame Y
hotho par dil ke tarane nahi aate
sahil par samundar ke fasane nahi aate
neend mein bhi khil uthti hai palke
aankhon ko khwaab chupane nahi aate

Y Popey.che.tame Y
dil ki dhadkan ko dhadka gaya koi
mere khwabon ko mehka
gaya koi
hum to anjaane raaston par chal rahe the
achanak hi pyaar ka matlab sikha
gaya koi

Y Popey.che.tame Y
Kal Ka Intezaar Hume Nahi Hain ,
Dil Mein Pyaar Ke Liye Jagah Nahi Hain,
Pyaar Mein Hum Aise Chot Khaye,
Ab Rone Ke Liye Ankhon Mein Ansu Bhi Nahi Hain.................

Y Popey.che.tame Y
dil hi dil mein hum unse pyaar karte hain
chupchaap unki mohabbat ka intezaar karte hain
jin raahon par unka chalna mushkil hai
unhi raahon par unka intezaar karte hai

Y Popey.che.tame Y
kab toot jaaye kasam hi to hai
kab toot jaaye nazar hi to hai
kabhi kisi ke saath ki aadat mat daalo
kab bichad jaaye zindagi hi to hai

Y Popey.che.tame Y
hasrat hai sirf tumhe paane ki
aur koi khwahish nahi is parwane ki
shikwa mujhse nahi khuda se karo
kya zarurat thi tumhe itna khoobsurat banane ki


Y Popey.che.tame Y
Dil se tera khayal na jaaye to kya karu
tu hi bata tu yaad aaye to kya karu
hasrat ye hai ki ek nazar tujhe dekh loon
magar wo lamha hi na aaye to main kya karoon

Y Popey.che.tame Y
khud ki mohabbat ko fanah kaun karega
sabhi nek ban jaaye to gunah kaun karega
aye khuda sanam bewafa ko bachaye rakhna
warna hamari maut ki dua kaun karega

Y Popey.che.tame Y
dewana tumhe bhi bana denge
dil mein pyaar ki shama jala denge
raho chahe jitni bhi patthar dil banke
par apni yaadon se tumko bhi rula denge

Y Popey.che.tame Y
kismat par aitbaar kisko hai
mil jaaye khusi to inkaar kisko hai
kuch majbooriyan hai mere dost
warna judai se pyaar kisko hai

Y Popey.che.tame Y
saath rahte rahte yu hi waqt gujar jayega
door hone ke baad kaun kise yaad aayega
ji lo ye pal jab hum saath hai
kal ka kya pata waqt kahan le jayega

Y Popey.che.tame Y
aapko bhool jau umra gujarne ki baat hai
aapko na ho yakeen ye aur baat hai
jab tak rahegi saans tab tak rahoge yaad
ye saans toot jaaye to aur baat hai

Y Popey.che.tame Y
yakeen karo wo maut bhi badi suhani hogi
jisme hamari dosti veerani hogi
chalo vaada raha tumse pehle hum jayenge
kyonki tumhare swagat ki rashm bhi to nibhani hogi

Y Popey.che.tame Y
Itni dosti na karo ki bichad jaaye hum
thoda daanta bhi karo ki sudhar jaye hum
koi khata ho to ho jaana khafa
itna bhi nahi ki mar hi jaaye hum

Y Popey.che.tame Y

1 comment:

  1. Read it... just wonderful... and amazing... thoughts and expression... it touched my soul... will mention the end. part

    ReplyDelete