Y popey.che.tame Y
Royegi aankh muskurane ke baad,
aayegi raat din dhal jane ke baad,
oh jaane wale jara mud ke to dekh,
shayad yeh zindagi na rahe tere jaane ke baad.
Baat rakhi dil me baat kahe na sake,
yaad kiya aapko to saans le na sake,
puchha kisine dilko k tune pyar kis se kiya,
jaante the, phirbhi tumhara nam le nasake.
<><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><><>
Ab Aansuon Ko Aankhon Mein Sajaana Hoga
Charaagh Bhuj Gaye Khud Ko Jalaana Hoga
Na Samajhna Keh Tumse Bicharh Ke Khush Hain
Humein Logon Ki Khaatir Muskuraana Hoga
Phir Shaam Dhal Gayi Tum Aaye Na Aaj Bhi
Dil Ko Aaj Phir Umeedon Se Behlaana Hoga
Waada Khilaafi Kar Ke Muskurate Hain Aap
Dekhna Ek Din Sanam Aapko Pachtaana Hoga
Lahoo Se Apne Kafan Pe Tera Naam Likh Jaaunga
Thaam Ke Haath Mein Phool Tumko Aana Hoga
Abhi Se Na Kijiye TaQaaz-E-Masroofiyat Ke Aap
Abhi Uth-na Hai Janaaza Kaandha Tau Dena Hoga
Muddaton Kiya Hai Tera Intezaar Aye Sanam
Umr Kat Chuki Ab Tau Tujhe Jaana Hoga....
you said that you are with me forever, now you can not say otherwise, you cant break your promise..........
Please dont go away.................!!!!!!!!!!!!!
please dont go away..............!!!!!!!
I will be waiting for you till my last last breath you have to come.
" Royegi aankh muskurane ke baad,aayegi raat din dhal jane ke baad,
oh jaane wale jara mud ke to dekh,shayad yeh zindagi na rahe tere jaane ke baad"
Y popey.che.tame Y
Kisiko chahne ka koi bahana nahi hota,
dil lagane se koi deewana nahi hota.
Aashiqi seekhni ho to seekho humse,
hume pata hai ishq ka matlab sirf paana nahi hota.
Y popey.che.tame Y
dil se roye magar hothon se muskura baithe,
yun hi hum kisi se wafa nibha baithe,
woh hamein ek lamha naa de paaye,
jinke liye hum apni zindagi gawaa baithe.
Y popey.che.tame Y
Seene Mein Dard Aankh Mein Paani Aya Hoga,
Teri Raah Mein Bhi Ye MuQaam Aaya Hoga,
Sisakte Gham Ka Saya Har Taraf,
Roshni Ka Pata Nazar Na Aaya Hoga,
Naaz Tha Tum Par Jo Rahoge Umr Bhar Saath,
Kuch Hi Din Mein Kaise Bhulaya Hoga...
Y popey.che.tame Y
Dard hi sahi mere ishq ka Inaam to aya..,
Khali hi sahi hato mai jaam to aya..,
Mai hun bewafa sabko bataya usne..,
Yun hi sahi uske labon pe mera Naam tou Aya..!!
Y popey.che.tame Y
Jaane kis jahan mai aisa hota hai..,
Khushi jise mile wohi rota hai..,
Ummar bhar sath nibha na sakhe jo..,
Jaane Kyu Pyar Ussi Se Hota Hai..!!
Y popey.che.tame Y
Hamne bhi kabhi pyaar kiya tha....,
thoda nahin beshumar kiya tha.
Badal gayi thi zindagi hi hamari..,
jab usne kaha "arey paagal,
Y popey.che.tame Y
Tere dil mai mai khud ko aise basa dungi
Ki marke bhi mai teri dil mai dhadka karungi
Tu chahe meri yaad ko dil se bhulade
Par fir bhi mai teri har dhadkan ke saath jiya karungi
Y popey.che.tame Y
Kaash ek kadam hum bhi unke saath chal paate
Kaash unke khwabo mai hum bhi bas jaate
Jo chale gaye hamare sapne todke
Kaash unke sapno ko hum zindagi de paate
Y popey.che.tame Y
na tujhe chor sakte hai..tere ho bhi nahi sakte,
ye kaisi bebasi hai..aaj hum ro bhi nahi sakte!!!!
ye kaisa dard hai ..pal pal hame tadpaye rakhta hai..,,
Tumhari yaad aati hai..to fir so bhi nahi sakte!!!
chupa sakte hai or na dikha sakte hai hum logon ko,,,
kuch aise daag hai dil par..
jo hum dho bhi nahi sakte!!!
kaha tha chod denge ye nagar..fir ruk gaye lekin,,,
tumhe paa to nahi sakte..magar kho bhi nahi sakte!!!
hamara ek hona bhi mumkin nahi raha ab to,,,
jeeyein kaise ki tumse durr ab ho bhi nahi sakte!!!!
Y popey.che.tame Y
Tum kya jaano main khuda se kya maangta hoon,
Tumhari salaamti ki hamesha dua maangta hoon.
Agar anjaane mein ho jaye koi tum se khata ,
To do mujhe uski saza yeh maangta hoon.
Agar lag jaaye koi chot tumko, ya ho jaao tum pareshaan,
To mere haq mein woh saari takleefein maangta hoon.
Ya khuda,mere mehboob ko ghum se door rakhna,
Din raat tumhaare saare ghum maangta hoon.
Tum ho hamesha kaamyaab,tumhaari har khwaaish puri ho,
Bas yeh chaahta hoon,aur tumhaari khushi maangta hoon.
Main jaanta hoon ke tum mere nahin ho lekin,
Main hamesha khuda se tumhaara saath maangta hoon
Y popey.che.tame Y
Has Ke MILte The KabhI.. Ab MiLe to Haste HaIn...
Wo BhI KYa MeharbaanI ThI...Ye BhI KYa MeharbaanI HaIn..
Y popey.che.tame Y
Jaane kya mujhse zamaana chahta hai,
Mera dil todkar mujhe hasana chahta hai,
Jaane jya baat chalakti hai mere chehre se,
Har shaks mujhe aazmaana chahta hai."
Y popey.che.tame Y
Kisi na kisi pe, kisi ko, Aetbaar ho jaata hai,
Ajnabi koi shaks, aksar yaar ho jaata hai.
Khoobiyo se hi nahi hoti mohhabat,
Khamiyo se bhi aksar pyaar ho jaata hai.
Y popey.che.tame Y
Unke chehre ko apni ankhon se hata sakte nahi,
Dil ki betabi ki surat dikha sakte nahi...
Kitni dilchasp hain ye mohabbat ki majburiya,
Samne manzil he kadam bada sakte nahi...
Y popey.che.tame Y
Usko chaha bhi to iqraar karna na aaya,
Kat gayi umr, hamein pyar karna na aaya,
Usney maanga bhi agar kuch to maangi judaai,
Aur ek hum thay ke inkaar karna na aaya
Y popey.che.tame Y
Har pal ne kaha ek pal se...
Pal bhar ke liye aap mere samne aa jao...
pal bhar ka saath kuch aisa ho...
ki har pal tum hi yaad aao...
Y popey.che.tame Y
Unka khwaabon mein aana, ye unka kasoor tha
Unse dil lagana, ye hamara kasoor tha...
Woh aaye the zindagi mein do pal ke liye
Unko zindagi samazh lega hamara kasoor tha...
Y popey.che.tame Y
Aaj lagta hai tumhara saath chooth gaya hai..
Dil ki kisi kone me kuch toot gaya hai
bezubaan si yeh dard ne ehsaas diya
ki Waqt bhi humse ab rooth gaya hai
Y popey.che.tame Y
Maine tumhe kabhi paaya hi na tha,
phir aaj tumhe khone ka gham kyo hai,
Kabhi saath chalne ka waada kiya hi na tha
phir aaj akele hone ka gham kyo hai
Y popey.che.tame Y
har aaine ki kismat me tasveer nahi hoti,,
har kisi ki ek jaise taqdeer nahi hoti,
aur bhi hai badnaseeb hum jaise,
jinki haaton me mohhabat ki lakheer nahi hoti
Y popey.che.tame Y
Barso ho gaye Hmne Rokar nahi dekha
Apni Aankho ko Aansu se Dhokar nahi dekha
Wo kya jane Pyar kya chij hai
Jisne kabi kisiko Khokar nahi dekha.
Y popey.che.tame Y
Meri hi shakal lagti hai mujko ajnabi,
Na jane kaun mere ghar ke aaine badal gaya,
De kar muskan kuch pal ki,
Na jane kaun meri zindgi ke maaine badal gaya ....
Y popey.che.tame Y
Kash ansuo k sath yade bah jati,
kash ye khamoshi sab kuch kah jati,
Kash apni kismat humne khud likhi hoti,
To humari kismat me pyar ki kami na rah jati..
Y popey.che.tame Y
Katra katra bahte the ansu aur hum unhe sukha b na sake...
Isse badi wafa ki saza kya hogi..
Vo roye humse lipat ker kisi aur k liye...
aur hum mana bhi na kar paaye
Y popey.che.tame Y
Sunaa hai wo jaate hue keh gaye ke ab
to hum sirf tumhare khwaabon me aayenge,
koi keh de unse ki wo wada to kare,
hum umar bhar ke liye so jayenge
Y popey.che.tame Y
Na jaane uspar itna yakeen kyon hai,
uska khayal itna haseen kyon hai,
suna hai pyar ka dard meetha hota hai,
toh phir aankhon se nikla aansu namkeen kyon hai...
Y popey.che.tame Y
Ek ajeeb sa manzar nazar ata he,
Her ek katra samunder nazar ata he,
Kaha banau main apna makan shishe ka,
Her ek hath me pathar nazar ata he..
Y popey.che.tame Y
Na usne palat kar dekha na vo laut kar aye,
mohabat ke sare ilzam humare hi sir aaye,
apne liye khuda se jab khusiyan mangi humne,
to in ankho se ansu hi jhalak aye.
Y popey.che.tame Y
ab to khuda se bas yahi fariyad karte hain,
jo dard usne mere naam kiya vo uski zindagi main na aye,
kabhi gar koi dard aye uski zindagi main,
to uska ansu meri ankho se gir jaye.
Y popey.che.tame Y
hum to kuch kahne ki himmat bhi na kar sake usse,
vo apni zindagi ko pane tak ki himmat kar jaye,
hum to apni zindagi bas yuhi haar bethe,
dua hai ki vo apni zindagi jitta chala jaye.
Y popey.che.tame Y
chere par uske vo muskurahat humesha rahe,
chahe badle main humain hazar gum mil jaye,
hai dua itni ki use khusiyan beshumar mile,
ki use khushiyo ki aur khushiyo ko uski adat hi ho jaye...........
Y popey.che.tame Y
kabhi to sab jaane pehchane lagte hai,
kabhi to apne bhi begane lagte hai,
wo hamein chhod gaye to ehsas hua,
Kabhi kabhi kisiko samajhne me zamane lagte hai…
Y popey.che.tame Y
wapas aa jao bas ab tumhare bina kuch yaad nahi
meri rooh ko tere siwa kisi ki aas nahi hai
mujhko meri duniya lauta do mujhpe apna phir wahi pehla sa pyar luta do
bahut yaad aati ho tum
maana ki ab ye mumkin nahi ki hum saari umar saath rahe
per jab tak ye saasein rahe inpe tera he naam rahe.......
Y popey.che.tame Y
Ye aansu bhi kambakht ek pareshaani hai..
Khushi aur Gham dono ki nishaani hai..
Samjhne walon ke liye ye Anmol hai..
Aur Na samajhne walon ke liye ye bas paani hai.........
Y popey.che.tame Y
kal raat chand hu-ba-hu tum jaisa tha
wohi husn..
wohi guroor..
aur
wohi doori
Y popey.che.tame Y
farq srif itna sa hai teri doli uthi meri mayat uthi
phool tujh par bhi the phool mujhe par bhi the
tu saj kar gayi mujhe sajaya gaya
tu bhi ghar ko chali main bhi ghar ko chala
tu uth kar gayi mujhe uthaya gaya
sakhiyaan teri bhi thi dost mere bhi the
mhefil wahan bhi lagi thi log yahan bhi the
unka hasna wahan inka rona yahan
qazi udhar bhi tha imam idhar bhi tha
do bol tere padaye do bol mere padaye
tera nikkah padha mera janaza padha
tujhe apnaya gaya mujhe dafnaya gaya
Y popey.che.tame Y
Katre katre ka jeene se dil bhar gaya hai,
Har paimane se peene ka mann bhar gaya hai,
ek tu he bachaa hai duniya me....
baaki duniya se hamara zee bHar gaya hai...
Y popey.che.tame Y
pyar chupta nhi ankhen chupane se
dil rukta nhi kisi ke samjhane se
ruk jati hai dhadkan tujhe bhul jane se
hum tujhe yaad karte hai jeen-e-ke bahane se..
Y popey.che.tame Y
Phir Chand khila,
Phir Raat Thami,
Phir Dil ne kaha,
Hai Teri Kami,
Phir Yaad k
Jhonkey Mehek gaye
Phir Pagal Armaan
Behek gaye,
Phir Jannat si lagti
hai Zameen,
Phir dil ne kaha
Hai Teri Kami,
Phir guzrey Lamhon
ki Baatein,
Phir jag gayi sari Raatein,
phir Theher gayi Palkon mai Nami,
Phir Dil ne kaha
Hai teri Hami, Hai teri Kami.
Har khushi kam hai,
Tera gum bhulane ke liye,
Ek tera gum hi kaafi hai,
Mujhe umr bhar rulane ke liye
Y popey.che.tame Y
Dil se roye magar aankhon se muskura baithe...
yun hi hum kisi se wafa nibha baithe...
wo hame ek lamha na de paye...
jinke liye hum apni zindagi gava baithe...
Y popey.che.tame Y
thoda thoda karke bikhar gaya hu main...
zindagi tujse darr gaya hu main..
.jeene ki dua na do doston ...
chu ke dheko mar gaya hu main...
beasar ho rahe hai duwaee...
anjaane me koi gunaah kar gaya hu main...
dosto main use kaise samjaoo...
unke bina jee kar bi mar raha hu main
Y popey.che.tame Y
Kismat pur aitbar kisko hai.
Mil jaye khushi inkaar kisko hai,
kuch majburiyan hai mere dost,
warna judai se pyaar kisko hai...
Y popey.che.tame Y
aankhon mein khumaar aaj bhi hai
vo aayegee ek-na-ek din
dil ko ye gumaan aaj bhi hai ..
dil-o-jaan se chahte hain usko
kaash ! ye khabar use aaj bhi ho ...
vo milegee kahin-na-kahin
dil ko ye aas aaj bhi hai ...
din toh guzar jata hai jaise-taise
magar raaton mein tanhai aaj bhi hai ...
vo nahi, uski yaddein hi sahi
dil ko uski jusstju magar aaj bhi hai ...
vo aayegee zaroor dil yahi kehta hai
magar vo na aaye toh kya hoga
dil ko ye khayal aaj bhi hai ...
Y popey.che.tame Y
Meri gali se wo jab bhi gujarti hogi
Mod pe jaake kuch der thaharti hogi
Bhool jaana mujhko itna aasaan to na hoga
Dil main kuch toot ke to bikharta hoga
Saath dekhe the Jo un khwabon ka kaarwaa
Gubaar bankar uski aankho me ubharta hoga
Koi jab choomta hoga use baanho me lekar
Mera pyar badan me uske siharta hoga
Uski julfon ko meri ungliyan dulaarti hongi
Saamne aaine ke wo jab bhi sanwarti hogi
Dard jab bhi deta hoga ye sangdil zamaana
Y popey.che.tame Y
kyun dil ke kareeb aa jata hai koi
kyun apnepan ka ehsaas de jata hai koi
jab dil ko aadat si ho jati hai unki
kyun utni hi door chal jata hai koi
Y popey.che.tame Y
Bhaut udas hai koi tere jane se ,
ho sake to laut aa kisi bahane se,
tu lakh khafa sahi magar ek baar to dekh ,
koi toot gya hai tere rooth jane se
Y popey.che.tame Y
aaj mere dard ki inteha hone de
mat rok mujhe jee bhar rone de
nahi manjur zindagi uske pyaar ke bagair
aaj mujhe mout ki neend sone de
Y popey.che.tame Y
Unki yaad bhi hume sataati hai,
hume tanha paakr rulaati hai.
hume apne rone ka koi gum nahi yaaro,
kyuki aaj bhi hume rotaa dekh kar wo muskrati hai.
Y popey.che.tame Y
Baat Din ki nahi,Ab raat se dar lagta hai
Ghar hai kacha mera, Barsat se dar lagta hai
Tere tohfay ne to bas khoon ke aansoo hi diye
Zindagi ab teri soghat se dar lagta hai
Y popey.che.tame Y
Hamari kushi ki baghwan se firyad na karna,
bhula dena mujko kabhi tum yad na karna,
kiya barbad tune mujhe ye meri badnasibi the,
iltaza hai kisi aur ko yun barbad na karna....
Y popey.che.tame Y
Kabi ro k muskraye kabi muskra k roe,
Uski yad jb b ayi ushe bhula k roe,
ek uska hi nam tha jise hazar bar likha,
jitna likh k kush hue,usse jyada mita k roe
Y popey.che.tame Y
Aye mera janaza uthane waalo,
Dekhna koi bewafa paas na ho,
Agar ho to usse kehna, Aaj to khushi ka mauka hai udaas na ho
Y popey.che.tame Y
hawa ke jhonke ki tarah zindagi mein
chale aaye the tum
khushiyon ki saugaat aur pyaar ke rang
sang laaye the tum
ghum ke gumnaam andhere mein
roshni ban kar chhaaye the tum
chahat ka ehsaas liye sukoon ban kar
dil mein samaye the tum
khushiyon se rangeen thi duniya
har pal jo mere paas the tum
ghum ke badal gehre hain
jabse juda hue ho tum
kyun yahan bekas akeli hoon main
kyun wahan itne tanhaa ho tum
kyun toote sapne woh sare
kyun itni durr chale gaye ho tum
dil ki bebasi kaise kahun
aankhon se aansoo banke behte ho tum
tarasti hoon tere pyaar ko main
pal pal mujhe yaad aate ho tum
Y popey.che.tame Y
Roz hee tum mere khwabo me aate ho..
Kya ab bhee hume yaad kar ke muskurate ho..??
U to neend nahi aati humko zamane se..
Is liye sota hoo kee aankh band karta hoo to tum dikh jate ho..
Mai janta hoo.. tum saath nahi ho mere ..
Fir kyo apne hone ka ehsaash dilate ho..
Jante ho kyo darta hoo mai tanhaiyo se.. ??
Ki akele me tum bahut yaad aate ho..
Y popey.che.tame Y
Ankhhe Aapki Jaroor Nam Hongi,
Jab Ham Aapke Pass Na Honge.
Tasweer Ko Dekh k hi Muskura Dena,
Jab Ham sabse door honge.
Y popey.che.tame Y
Nazre Unhe
dekna chaheto
akho ka kya kasur?
hr wqt khusbu
unki ayeto
sanso ka kya kasur?
Waise to spne
puch Kr nhi ate
pr spne hi UNKE
Aye to Rato ka
Kya Kasur..
Y popey.che.tame Y
Mat roko rone do mujhe,
Aansuon ko pee jane do.....
Woh chali gayi apni yaaden dekar,
Uski yaadon mein he kho jane do.....
Har pal roti hai aankhe meri,
Ke ashkon ko bhi jum jane do.....
Ab to din ke ujale se bhi dar lagta hai,
Mujhe raat ke andhere me hi rahne do.....
Kaise bayaan karoon dil ka dard lafzon me,
Ankho ko he sab keh jane do.....
Ab saha nahi jata usse judaai ka dard,
Ke zahar ko hi mukti samajh kar apnane do.....
Ab koi tamanna nahi meri jeeene ki,
Mujhe mout ke pehlu me so jane do....
Y popey.che.tame Y
Teri yaad jab aati hai
Yaad aati hai teri bewafayee
Tune diye jo mujhko aanso
Yaad aata tera woh pyaar
Jo kho gaya kahin dur
Chaha jise jaan se bhi zyada
Yaad aaya na usko koi vada
Woh teri tasveer ko mera niharna
Par ab aankho mein sirf nafrat ubharna
Ab nahin karta hoon main tujhse pyar
Nahin ban na chahta hoon main tera yaar
Par kya iski izazat deta hai mujhe mera pyar?
Karoon mein kya?
Karta hoon mein sirf tumse pyar
Y popey.che.tame Y
Kya kahu tujhe, khwab kahu to toot jayega…........
Dil kahu to bikhar jayega……........
Aa tera naam zindagi rakh du……
Kam se kam maut se pehle to tera sath na chuth payega…..
Y popey.che.tame Y
kaun apni mohobat fanaa karega...
sabhi nek ban gaye to gunah kaun karega...
aye khudha sanam bewaafa ko bachaye rakhna...
warna humare maut ki dua kaun karega...
Y popey.che.tame Y
yadon mein unki shayad kabhi hum na aayen
fir bhi dua hai ki jindagi mein unki koi gum na aye
jab talak hai sanse har khushi aapke naam karenge
dar itna sa hai ki dhadkane kahin tham na jaye
Y popey.che.tame Y
Teri Judai ka khauf kyu ho mujhe..,
Tu Jahan bhi hai mere qareeb hai..,
Zindagi se aur kya mangu mai..,
Teri Bewafai hi to Mera Naseeb hai..!!
Y popey.che.tame Y
Yadon Mai hamari wo bhi khoye hogi..,
Khuli Ankho se kabhi wo bhi soye hogi..,
Mana hasna hai ada gham chupane ki..,
Par Haste-Haste kabhi wo bhi roye hogi..!!
Y popey.che.tame Y
Tum Mujhe Bhool Bhi Jaao To Yeh Haq Hai Tumko
Meri Baat Aur Hai Maine To Mohabbat Ki Hai..
Mere Dil Ki Mere Jazbaat Ki Keemat Kya Hai
Uljhe Uljhe Se Khayalaat Ki Keemat Kya Hai
Maine Kyon Pyar Kiya Tumse, Kyon Pyar Kiya
In Pareshan Savalat Ki Keemat Kya Hai
Tum Jo Yeh Bhi Na Bataao To Yeh Haq Hai Tumko
Meri Baat Aur Hain,maine to tumse mahobbat ki hai ….....
Tumko Duniya Ke Gham-O-Dard Se Fursat Na Sahi
Sabse Ulfat Sahi, Mujhse Hi Mohabbat Na Sahi
Main Tumhara Hoon, Yahi Mere Liye Kya Kam Hai
Tum Mere Ho Ke Raho,Yeh Meri Kismat Na Sahi
Aur Bhi Dil Ko Jalaao To Yeh Haq Hai Tumko
Meri Baat Aur Hain,maine to mahobbat ki hai ...
Y popey.che.tame Y
Kash ansuo k sath yade bah jati,
kash ye khamoshi sab kuch kah jati,
Kash apni kismat humne khud likhi hoti,
To humari kismat me pyar ki kami na rah jati..
Y popey.che.tame Y
Katra katra bahte the ansu aur hum unhe sukha b na sake...
Isse badi wafa ki saza kya hogi..
Vo roye humse lipat ker kisi aur k liye...
aur hum mana bhi na kar paaye
Y popey.che.tame Y
Sunaa hai wo jaate hue keh gaye ke ab
to hum sirf tumhare khwaabon me aayenge,
koi keh de unse ki wo wada to kare,
hum umar bhar ke liye so jayenge
Y popey.che.tame Y
Na jaane uspar itna yakeen kyon hai,
uska khayal itna haseen kyon hai,
suna hai pyar ka dard meetha hota hai,
toh phir aankhon se nikla aansu namkeen kyon hai...
Y popey.che.tame Y
Ek ajeeb sa manzar nazar ata he,
Her ek katra samunder nazar ata he,
Kaha banau main apna makan shishe ka,
Her ek hath me pathar nazar ata he..
Y popey.che.tame Y
Na usne palat kar dekha na vo laut kar aye,
mohabat ke sare ilzam humare hi sir aye,
apne liye khuda se jab khusiyan mangi humne,
to in ankho se ansu hi jhalak aye.
Y popey.che.tame Y
ab to khuda se bas yahi fariyad karte hain,
jo dard usne mere naam kiya vo uski zindagi main na aye,
kabhi gar koi dard aye uski zindagi main,
to uska ansu meri ankho se gir jaye.
Y popey.che.tame Y
hum to kuch kahne ki himmat bhi na kar sake usse,
vo apni zindagi ko pane tak ki himmat kar jaye,
hum to apni zindagi bas yuhi har bethe,
dua hai ki vo apni zindagi jitta chala jaye.
Y popey.che.tame Y
chere par uske vo muskurahat humesha rahe,
chahe badle main humain hazar gum mil jaye,
hai dua itni ki use khusiyan beshumar mile,
ki use khushiyo ki aur khushiyo ko uski adat hi ho jaye...........
Y popey.che.tame Y
kabhi to sab jaane pehchane lagte hai,
kabhi to apne bhi begane lagte hai,
wo hamein chhod gaye to ehsas hua,
Kabhi kabhi kisiko samajhne me zamane lagte hai…
Y popey.che.tame Y
humne jo palko ke kinare bhigoye nahi.....
vo samje ki hum roye nahi....
vo puchte hain khwabhon me kisse dekhte ho...
Aur hum hain jo jamane se soye nahi.....
Y popey.che.tame Y
wapas aa jao
wapas aa jao bas ab tumhare bina kuch yaad nahi
meri rooh ko tere siwa kisi ki aas nahi hai
mujhko meri duniya lauta do mujhpe apna phir wahi pehla sa pyar luta do
bahut yaad aati ho tum
maana ki ab ye mumkin nahi ki hum saari umar saath rahe
per jab tak ye saasein rahe inpe tera he naam rahe.......
Y popey.che.tame Y
Ye aansu bhi kambakht ek pareshaani hai..
Khushi aur Gham dono ki nishaani hai..
Samjhne walon ke liye ye Anmol hai..
Aur Na samajhne walon ke liye ye bas paani hai.........
Y popey.che.tame Y
Thukra kar mujhe usne kaha muskura ab,
Main hans diya aakhir sawal uski khushi ka tha,
Maine jo khoya wo mera tha hi nahi,
Par usne jo khoya wo sirf usi ka tha..
Y popey.che.tame Y
kal raat chand hu-ba-hu tum jaisa tha
wohi husn..
wohi guroor..
aur
wohi doori ...............