Thursday, January 14, 2010

Zindagi Maut Ke Pehloo Mein So Rahi Hai..............




Y Popeye.che.tame Y


Har dil me dard chupa hota hai,

bayan karne ka andaz juda hota hain,

kuch ashkon me dard ko baha dete hain,

aur kisi ki hansi me bhi dard chupa hota hai.


Y Popeye.che.tame Y


Ehsan kiya usne mujhe pyar sikha kar
hoti hain chahat kya ye mujhe samjha kar
kurbani hain pyar ka asli matlab
chod diya sath mera bas itna bata kar....


Y Popeye.che.tame Y


Woh sunna hi nahi chahte the
aur hum izhaar karte rahe
woh aana hi nahin chahte the
aur hum intezar karte rahe
Khata unki nahi hamari hai ki
hum ek patthar dil se pyar karte rahe......


Y Popeye.che.tame Y


Kabhi hum Pe wo Jaan diya karte the,

Jo hum kehte the wo Maan liya karte the,

Aaj Paas Se Anjaan ban kar Guzar Gaye,

Jo Door Se hi Pehchan liya Karte the..


Y Popeye.che.tame Y


Aj rutha huwa ik dost bohat yaad aya,

Acha ghuzra huwa kuch waqat bohat yaad aya,

Meri ankh ke har ik ashak pe ronay wala,

Aj jab ankh ye royi too bohat yaad aya,

Jo meray dard ko seenay mein chuppa laita tha,

Aj jab dard huwa mujh ko too bohat yad aya,

Jo meri ankh mein kajal ki tarah rehta tha,

Aj kajal jo laghaya too bohat yaad aya,

Jo meray dil ke tha kareeb fakat usko hi

,Aj dil ne jo bolaya too bohat yad aya,

Meray jeewan ki har khushi mein wohi tha bas,

Aj jab yaad wo aya too bohat yaad aya.


Y Popeye.che.tame Y


khuli jo ankhe to manzar ajeeb tha,

dard tha magar wo dil ke kareeb tha,

jinhe hum dhoondte the haatho ki lakeero me,

pata chala wo kisi aur ka naseeb tha...


Y Popeye.che.tame Y


Aaj To Hum Maut Ki Dua Kar Ke Roye Hain
Dobara Aaj Khuda Se Gila Kar Ke Roye Hain
Kyon Na Likh Saka Tu Us Ko Taqdeer Mein Meri
Yeh Aik Khayal Soch Kar Phir Hum Roye Hain


Y Popeye.che.tame Y


Kabhi Aanso Chupa Chupa Ke Rooey,
Kabhi Dastan-E-Gum Suna Ke Rooey,
Raat Katti Hai Intezar-E-Yaar
Main,
Hum Raat Bhar Taroon Ko Jaga Jaga Ke Rooey,
Phir Woh Na Aay Raat Ka Wada Kar Ke,
Hum Tamaam Raat Shama Jala Jala Ke Rooey,
Aaj Raat Un k Aaney Ki Umeed The Humain,
Woh Na Aay Hum Ghar Ko Saja Saja Ke Rooey,
Suna Hai Dua Se Hoti Hai Muraad Dil Ki Poori,
Hum Sari Raat Haath Utha Utha Ke Rooey…!!!


Y Popeye.che.tame Y


Jane kyu hume aansu bahana nahi aata,
Jane kyu hume haaledil batana nahi aata,
Kyu saathi bichhad jate hai humse,
Shayad hume hi saath nibhna nahi aata..


Y Popeye.che.tame Y


Teri nazron se dur chala jaunga mai,
Dur fizaon me kahin kho jaunga mai,
Meri yadon se lipat kar rogi tum,
Duniya chhod kar jab so jaunga mai...


Y Popeye.che.tame Y


Waqt ke is mod per yeh kaisa waqt aaya hai,
Zakhm is dil ka zuban per aaya hai,
Nahi rote the hum kaaton ki chubhan se,
Aaj phoolon ki chubhan ne humko rulaya hai..


Y Popeye.che.tame Y


Vaade bhi dost ne kya khoob nibhaye,
Zakhm muft me aur dard tohfe me le aaye,
Isse jyada wafa ki misal kya hogi,
Ki maut se pahle hi dost kafan le aaye....


Y Popeye.che.tame Y


Apni tanhai ka aalm tujh ko batau kaise
Apni barson ki tarap chupaun kaise
Raha na jaye mujhe tere bin ab
Main apne dill ko somajhu kaise
Najane kaisi kashish hai tujh main
Main apne jazbat ko rok pau kaise
Najane kaisi aas hai tum se
Main apni umeedon ko rok pau kaise
Bara dilnashi hai ahsas tera
Main iss ahsas se bahir aon kaise
Pata nahi kaisa hai ye diwanapan
Main apni diwangi ko rok pau kaise
Bare pyar se sjaya hai sapna ye apna
Main apne in sapno ko tod pau kaise
Main yahan tu wahan
Main apne aap ko smbhal pau kaise.....


Y Popeye.che.tame Y


Phir aasuon ke kuchh fasane nikle,
Maikhane se sharab ke paimane nikle,
Jo dil ka hal samajh hi na paye,
Kyu usko hum apna zakham dikhane nikle...


Y Popeye.che.tame Y


Gujarish hamari wo maan na sake,
Mazburi hamari wo jaan na sake,
Kehte hai marne k baad bhi yaad rakhenge,
Jeete ji jo hume pehchan na sake....


Y Popeye.che.tame Y


Rooth gaya hai mujhko manane wala,
Ab koii nahi hai nakhre uthane wala,
Par jaane kyu sochta hai ye khula darwaza,
Shayad rasta bhool
gaya hai aane wala.........


Y Popeye.che.tame Y


Ro Chuka Hu Me Itna Mujhe Kya Rulaega Koi,
Sun Chuka Hu Me Sab Kuch Mujhe Kya Bataega Koi,
Azmana Chahte Ho To Azmake Dekh Lo Mujhe,
Main Ek Bujhi Hui Shama Hu Mujhe Kya Bujhaega Koi


Y Popeye.che.tame Y


Socha tha ek Zakhm Hai Bhar Jayega,
Kya Khabar Thi Rago main khun ban ke utar jayega
Theek Likha tha Mere Haath Ki Lakeeron Me
Tu Agar kisi ko chahega To Bikher jayega...


Y Popeye.che.tame Y


Ashkon ko humne kayi baar roka,
Phir bhi na jane kyon ankhen dhoka de gayi,
Bharosa to tha hamein apne aap par magar,
Unka zikr aate hi naa jane kyon palken nam ho gayi..


Y Popeye.che.tame Y


Jaane waale chale jaate hain dost,
Yaadein bhi khaak ho jaati hain,
Bas kuchh palon ki baatein hain,
Fir to parchhai bhi saath chhod jaati hai.....


Y Popeye.che.tame Y


Jab aankh mein nami si hoti hai,
to dil mein kisiki kami si hoti hei,
Jab aankh jukh jaaye to nami sukh jaaye,
Par koi ye to bataaye ki kaise dil ka dukh jaaye


Y Popeye.che.tame Y


Wo lamhe humein yaad na rahe toh kya hoga
tere siva kuch bhi aabaad na rahe toh kya hoga
aisi hai yeh dil ki majbooriyaan kaise batau
inn saanson mein ab tera naam na rahe toh kya hoga.......


Y Popeye.che.tame Y


Bhari mehfil mein tanha mujhe rehna sikha diya,
Tere pyar ne duniya ko jhoothha kehna sikha diya,
Kisi dard ya khushi ka ehsaas nahin hai ab to,
Sab kucch zindagi mein chup-chaap sehna sikha diya.


Y Popeye.che.tame Y


Zakhm aisa diya ke koi dawa kaam na aaye,
aag aise lagaye ke paani se bhi na bhuj paaye,
Aaj bhi rote hain unhe yaad karke,
JISSE HAMARI YAAD KABHI NA AAYE.....


Y
Popeye.che.tame Y


Teri Qurbat mili ..magar tera Sahara na Milaa,
Qareeb pahunch ker bhi Sahil ke Kinara na Mila,
Dekhta Raha Gaur se mai hatheli apniii,
Magar Mujhay apni Kismat ka Sittara na Mila.


Y Popeye.che.tame Y


dard sehne se hum darte nhi

par us dard k khatam hone ki koi umeed to ho,

dard chahe kitna bhi dardnak kyu na ho

par dard dene wale ko uska ahsas to ho.


Y Popeye.che.tame Y


Chaar din ka hasna tha zindagi bhar ka rona jholi paa beithe,
Hum kahan zaalim duniya ki baaton mein aa beithe,
Aaj fir tadpe dil uski yaad mein najane kyun,
Aaj fir uski yaad ke moti palko pe saja beithe..


Y Popeye.che.tame Y


Dil wohi rehte ha, Jazbaat badal jate hai,
Sochnay walo ke andaaz badal jaatey hai,
Woh jo detay thay har baat pe hawala mera,
Ab mere zikar pe woh baat badal jaatay hai........


Y Popeye.che.tame Y


Jis ki qurbat main qarar bohat tha
Uss ka milna dushwaar bohat tha
Jo meray haathon ki lakeero main na tha
Uss shakhs se hamay pyaar bohat tha
Ajeeb shakhs tha kaisa mizaj rakhta tha
Saath reh ke bhi ikhtalaaf rakhta tha
Main kyu na daad du uss ke fun ki
Mere har sawal ka pehlay hi se jawab rakhta tha
Muhabbat to thi ussay kisi aur se shayed
Hum se to yun hi hansi mazak rakhta tha...'


Y Popeye.che.tame Y


Kabhi ussey bi meri yaad stati hogi
Apni ankhon main merey khuaab sajati hogi
Wo jo her waqt khiyaalon main bassi rehti hai
Kabhi to meri bi sochon main kho jaati hogi
Wo jiski raah main palkein bichi rehti hain
Kabhi mujhey bi apney pass bulati hogi
Labon per rehti hai wo her pal hansi bann ker
Tasawar se merey , wo bi muskuraati hogi
Wo jo shaamil hai merey geet merey naghmon main
Kabhi tanhai main mujh ko gun gunaati hogi
Jis ke liey mera dil beqaraar rahta hai
Merey liey apna chain bi guanti hogi
Jiss se izhaar e wafa her pal karna chahoon
Kabhi iqraar to wo bi karna chahti hogi
Jiske liey meri her raat hai karwat karwat
Kabhi to ussey bi neend na aati hogi
Jiski ulfat ki shamah se hai mera dil roshan
Meri chahat ke wo bi deep jalati hogi
Ghame -e- firaaq mera hi muqadar hai ya phir
Meri judaai ussey bi yunhi rullati hogi........


Y Popeye.che.tame Y


Benaam Sa Ye Dard...Thehar kyon Nahi Jata
Jo Beet
Gaya Hai...Woh Guzar Kyon Nahi Jata.
Sab Kuch To Hai...Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein
Kya Baat Hai...Mai Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata..

Woh Ek Hi Chehra To, Nahi Sare Jahan Mein
Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata...

Main Apni Hi Uljhi Hoi...Raho Ka Tamasha
Jate Hain Jidhar Sab...Main Udhar Kyon Nahi Jata...

Woh Naam Jo Na Jane Kab Se, Na Chehra Na Badan Hai
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata......


Y Popeye.che.tame Y


Zindagi ki uljhanon mein ulajhta raha
Bas uske pyar ke liye hurdum tarasta raha
Jaanta tha woh shyad hi kabhi mujhe haasil hogi
Phir bhi jhute dilase se dil bahlata raha
Socha tha kabhi to waqt mere saath hoga
Par who bhi ret ki tarah mere haath se fisalta raha
Shayad,
Khuda ko ye bhi na manzor tha aankho mein kaid karoon uske aks ko
Isliye to har lamha paani ki tarah meri aankon se behta raha.......


Y Popeye.che.tame Y


Mere sune dil ko yun akelapan ganwara na tha,
Hamari kashti bahti rahi, koi kinara na tha,
Yun to jami pe sitare bahut bheje khuda ne,
Par in sitaron ki bhid me koi hamara na tha..........


Y Popeye.che.tame Y


Kalam uthai hai lafz nahi milta,
Jise dhoond rahe hain wo shaksh nahi milta,
Firte hain wo jamane ke sath,
Bas hamare liye hi unko waqt nahi milta.......


Y Popeye.che.tame Y


Aaj teri yaad ko seene se laga kar roye
Apne khwabon mein tujhe paas bulake roye
Hazaron baar pukara tujhe tanhaiyon mein
Aur har baar tujhe paas na paa kar roye...


Y Popeye.che.tame Y


Zakham jab mere sine me bhar jaayenge,
Aansu bhi moti bankar bikhar jaayenge,
Ye mat poochna kis-kis ne dhokha diya,
Varna kuch apno ke bhi chehre utar jaayenge..........


Y Popeye.che.tame Y


Rastho mein mila karte hai kayi log,
Phir zindagi ka hissa ban jaya karte hain wahi log.
Ankho se ansu chura lete hai wahi log,
Dadhkano ka silsila badate hai wahi log.

Koobsurat si rahon per chalate hai wahi log,
Ummedo ka diya jalte hai wahi log.
Janmo janmo tak saath dege wada karte hai wahi log
Jina sikhate sikhate phir tanha kyo kar jate hai wahi log..


Y Popeye.che.tame Y


Nadaani mein hum kisse apna samajh beithe,
Jo dikhaaya uss bewafa ne sapna hum haqeeqat samajh beithe,
Dekho aaj chod diya hamein usne ek gair ke liye,
Jisse hum apna humsafar samajh beithe.......


Y Popeye.che.tame Y


Lamha Lamha Saansein Khatam Ho Rahi Hain,
Zindagi Maut Ke Pehloo Mein So Rahi Hai,
Us Bewafa Se Naa Poocho Meri Maut Ki Wajah,
Woh To Zamaane Ko Dikhaane Ke Liye Ro Rahi Hai..


Y Popeye.che.tame Y


Jane Kyun Woh Hame Kuch Aisi Nishani De Gayee,
Dohra Na Sake Aisi Kahani De Gayee,
Hum To Reh Gaye Pyase Par,
Woh Hamari Palko Ko Pani De Gayee..


Y Popeye.che.tame Y


Meri aur unki itni si kahani hai,
Tuti hui kashti ruka hua pani hai,
Ek gulaab jo unki kitab me dam tod chuka hai,
Aur unko yaad hi nahi ki ye kisiki nishani hai....


Y Popeye.che.tame Y


Paane se khone ka maza aur hai…
Bandh aankhon main rone ka maza aur hai…
Aansoo bane lafz aur lafz bane ghazal…
aur uss ghazal main tere hone ka maza aur hai…


Y Popeye.che.tame Y


Bheeg jati hai palak tanhai main,
Darte rehte hain ye koi jan na le,
Pasand karte hain baarish main chalna,
Taaki rote hue koi pehchaan na le


Y Popeye.che.tame Y


Teri yaad se rishta kal bhi tha
teri yaad se rishta aaj bhi hai,,

Dil apna dukhta kal bhi tha
dil ye udaas aaj bhi hai,,

Jo pyar hum tum karte they
woh pyar to zinda aaj bhi hai,,

Hum bichad gaye is doori mein
tum door ho majboori mein,,

Kabhi waqt mile to chali ana
khula dil ka darwaza aaj bhi hai,,

Na sataao, na tadpaao….. .
na mehfil mein yu tanha chodo,

Teri yaad me jaage kal bhi they,
teri yaad me jaage aaj bhi hain……


Y Popeye.che.tame Y


Yaad Na Karogay,To Bhula Bhi Na Sakogay,
Mera Khyal Zehan Se Mita Bhi Na Sakogay
Ek Bar Jo Tum Mere Gam Se Miloge,
To Sari Umar Muskara Na Sako Gay......


Y Popeye.che.tame Y


Bahut chaha usko jise hum pa na sake,
Khayalo me kisi or ko le na sake.
Usko dekh ke aansoo to ponch liye,
Lekin kisi or ko dekh ke muskura na sake........


Y Popeye.che.tame Y


Mohabbat muje thi use se
yaadon me uski tadapta raha
maut bhi meri chahat ko rok na saki
kabr me bhi ye dil dhadkta raha.....


Y Popeye.che.tame Y


Kasak dil ki dil me dabi reh gayi,
Zindagi me unki kami reh gayi,
Itni ulfat ke baad bhi wo mujhe mil na saki,
Sayad meri mohabbat mein koi kami rah gayi..


Y Popeye.che.tame Y


Hamari yehi kuahish thi ki tum hamari zindagi mein aao,
lekin yeh ho na saka aur ab hum apni kismat pe rote hain,
neend to nahi aati hai ratoon ko lekin,
shayad tum kabhi kuaboon mein aao isi ummeed se sote hain.


Y Popeye.che.tame Y


Ke Tujh Se Juda Hokar Bhi
Jeeney Ki Aadat Hogayee

Tum Laut Ke Aaogey Humse Milne
Roz Dil Ko Behlane Ki Aadat Hogaye

Tere Waade Pe Kiya Bharosa Humney
Shab-Bhar Tera Intezaar Karne Ki Aadat Hogaye

Khushi Main Bhi Hum Kya Muskarate Ke
Teri Judaai Mey Rone Ki Aadat Hogayee

Kaafile Nikal Gaye Humey Chod Ke
Ab To Tanha Safar Ki Aadat Hogaye,

Har Mod-Par Mili Ghum Ki Parchhaiyaan
Zindagi Se Samjhauta Karney Ki Aadat Hogayee........


Y Popeye.che.tame Y


kabhi paas aaye kabhi dur hogaye,
unke liye
bewafa hum jarur hogaye.
kya qata humse hui hum puchhte rahe,
woh khamosh rahe hum majboor hogaye.
hum mangte rahe dua unki khushiyon ki,
wo hume chhod kisi ki aankhon ke
nur hogaye.
woh sochte rahe k khush hain hum,
par hum tutkr chaknachur hogaye,
mujhe pyar karne ki mili itni badi
sazaa,
aur woh hamein maar kar bhi
beqasur hogaye.
humne wafa nibhayi aur badnamiyan mili,
aur jo
bewafa the wo mashoor hogaye.....


Y Popeye.che.tame Y


Likhu kuchh aaj ye waqt ka takaza hai,
Mere dil ka dard abhi taza hai,
Gir padte hai aansu mere kagaz par,
Lagta hai kalam me syahi kam ishq jyada hai...


Y Popeye.che.tame Y


Yu na saza de A khuda Dil Lagane ki,
Had ho chuki hai dilko jalane ki,
Aati nahi neend raaton me, shay sukun wo deti nahi,
Koi to raah batao usse bhool jane ki..


Y Popeye.che.tame Y


Dil mein chhupa hai kitna dard, bataun kaise
Zindagi se ro-ro kar guzar rahi hai,
Hanskar tumhe dikhaun kaise
Suna hai zindagi chahat ka naam hai
Par ye tanha jevan tum bin, bitaun kaise
Tumhe shayad yakeen na ho
Par mere iss dil mein sirf tumhara hi naam hai
Par dil cheerkar tumhe dikhaun kaise
Maine to apni zindagi se bhi badhkar chaha hai tumhe
Par tumhi kaho binaa Mumtaaz ke Taj Mahal banaun kaise
Tumne diya hai jo dard, usse chhipaun kaise


Y Popeye.che.tame Y


Jab pyar ke Ehshas ko samajh jaogi,
Har sanso me mera hi naam paogi,
Mera pyar uss waqt dega aawaz,
Jab tum duniya ki bhid me khud ko akela paogi.....


Y Popeye.che.tame Y


Mere khwabon mein aana aapka kasur tha
Aapse dil lagana hamara kasur tha
Aap aaye the zindagi mein pal do pal ke liye
Aapko zindagi samajh lena hamara kasur tha........


Y Popeye.che.tame Y


Mere dil ka dard kisne dekha hai,
mujhe bas khuda ne tadpte dekha hai..
Hum mehfil may logon ke samne haste hain,
Khuda ne hame tanhai may rote dekha hai.


Y Popeye.che.tame Y


Ghamo Mein Bhi Muskurana Chahta Hun Main
Tumhe Bhulake Ek Nayi Duniya Basana Chahta Hun
Main
Magar Na Jaane Kyun Nikal Aate Hain Ansoon
Jab Bhi Tumhe Bhulana Chahta Hun
Main..


Y Popeye.che.tame Y


Roye Hai Bahut Tab Zara Karaar Mila Hai,

Is Jahan Mein kise Bhala sachcha Pyar Mila Hai,

Guzar rahi hai zindagi Imtihan ke daur se,

Ek khatam Huwa To Doasra Taiyar Mila Hai,

Mere Damaan ko khushiyo ka nahi Malaal,

Gham ka khazana jo isko beshumar mila hai,

Woh kamnasib hai jinhe mehboob mil gaya,

Main khushnasib ho mujhe Intezar mil gaya,

Gham nahi mujhe ke Dushman huwa yeh zamana,

Jab Dost Haatho Mein Liye Talwar Mila Hai,

Sab Kuch Khuda Ne TumKo Bhala Kaise de diya,

Mujhe To Uske Dar Se Sirf Inkaar Hi Mila hai.....


Y Popeye.che.tame Y

2 comments:

  1. yaad karta hu jab use dil tadap ker rota hai aye khuda bus itna bta mohbbat me dil kyu rota hai..........

    ReplyDelete