Sunday, January 03, 2010

Shayad hamari subah na aaye aaj sone K baad.






Y Popey.che.tame Y



Kya kahoon, duniya ne kiya, mujh se kaisa bair,
Hukam tha, main jiyun, lekin tere baghair,
Naadaan hai woh, kehte hain jo, mere liye tum ho ghair

Y Popey.che.tame Y

Kyun Koi hasta hai Rone ke baad,
Jeena fir bhi padta hai sab kuch Khone ke baad.
Socha ke aaj sab ko salaam bhej dein,
Shayad hamari subah na aaye aaj sone K baad.

Y Popey.che.tame Y

Majburion ke khatir sab Chorna pada,
Dil todna mushkil tha Magar todna pada..
Karte they Pyar jisko Be-intha,
Usi ki khushi ke khaatir, Khushion se muh modna pada.

Y Popey.che.tame Y

Teri judaai bhi hamein bahut pyaar karti hai,
teri yaad bahut beqraar karti hai.
Wo din jo tere saath the gujaare,
talash unko ye nazar kyun baar baar karti hai.

Y Popey.che.tame Y

Aa jao ki dil tumhe yaad karta hai ,
tumse milne ki fariyad din raat karta hai.
Ankhon me to samander din rat bahta hai,
phir bhi dil mein na jane kyun pyas ka ehsaas rhta hai.

Y Popey.che.tame Y

in baarisho se dosti achhi nahin.
kachha tera makan hai kuchh to khyaal kar..

Y Popey.che.tame Y

tune deewana banaya to mein deewana bana,
ab mujhe hosh kee duniya mein tamaasha na bana

Y Popey.che.tame Y

Woh mile to unhe kehna ke bahut rote hain,
jeete hain to kabhi marte hain unke bina,
Woh to rehte hain mehfilon mein,
aur hum tenha rehte hain har jagah unke bina.

Y Popey.che.tame Y

muskurahat bhi kabhi aasu de jati hai,
nazren bhi kabhi dastan keh jati hai,
guzre hue lamho ko yaad karke dekhna
tanhai bhi kabhi sukun de jati hai

Y Popey.che.tame Y

chhut raha hai mujhse har ek sahara,
tut raha hai mujhse har ek asha ka kinara,
kismat yahin hai mera dub ta sitara,
dekh te hai kab aate hai maut ka ishara

Y Popey.che.tame Y

Un par hi khatm saari chahat hogi,
phir Na kisi par ye inaayat hogi.
Kuch is tarah se karenge yaad unko,
na unko khabar hogi na zamane ko shikayat hogi.

Y Popey.che.tame Y

Tere kiye her sitam se tujhe azzad kar jayenge,
kabhi socha na tha hum itne mazboor ho jayenge.
Tumhe gila hai hum jawaab nahi dete,
saanson ke rukne se pehle her jawaab de jayenge.

Y Popey.che.tame Y

Qatl hua mere dil ka, aankhon me saara jahan aa gaya.
Gum is baat ka nahi ke qatl hua mere dil ka.
Gum is baat ka hai ki qatilon me unka naam aa gaya.

Y Popey.che.tame Y

Teri yaad hamein kyun itna sataati hai,
jo sab bhool ke sirf tera hi hona chahti hai.
Itne logon ki bheed mein bhi tanha bahut hun main,
teri yaad aakar mujhe kitna majboor bana jati hai.

Y Popey.che.tame Y

Humen aansuo se zakhmon ko dhona nahin aata,
milti hai khushi to use khona nahi aata.
Sah lete hain har gum has ke,
log kahte hain k hamein rona nahin aata.

Y Popey.che.tame Y

Itni asaani se kaise bhul jata hai koi,
reh reh kar kyun yad ata hai koi.
umar bhar yad karte rahenge hum unko,
dekhe hume kab tak bhulata hai koi.

Y Popey.che.tame Y

Gujar gaye vo chaman se bahar ki tarah,
aankhon me bas gaye hain intzaar ki tarah.
Kaise bhula de hum unhe apni yaadon se,
unhone inkaar bhi kiya ikraar ki tarah.

Y Popey.che.tame Y

Jagaya unhone aisa ki aajtak so na sake,
rulaya unhone aisa ki sabke samne ro bhi na sake.
jaane kya baat thi unme,
jabse maana unhen apna tabse kisi ke ho bhi na sake.

Y Popey.che.tame Y

Kuch beete hue lamhon se mulakaat hui,
kuch pure hue sapnon se baat hui.
Yaad aaye jo kisse purane to, aapki he yaadon se shuruaat hui

Y Popey.che.tame Y

Kabhi kabhi dil udaas hota hai,
halka sa aankho ko ehsaas hota hai.
Chalkte hain meri bhi aankho se aanshu,
jab tumhare dur hone ka ehsaas hota hai.

Y Popey.che.tame Y

Kuch lafz bina kahe alfaaz hote hain,
kuch log is kadar khaas hote hain.
Door ho jayein chahe nighahon se,
lekin fir bhi dil ke behad paas hote hain.

Y Popey.che.tame Y

Tune ilzaam jo diya hai kab kehta hun ke sahi nahi hai.
Gam to ye hai ke mere har zulm mein tu hi shamil hai.

Y Popey.che.tame Y

Waqt ke ho dhup ya hon tez andhiyan,
kuch kadmon k nishan kabhi nahi khote.
Jinhe yaad kar k muskura dein aankhein,
wo log door hokar bhi dur nahi hote.

Y Popey.che.tame Y

Ek pal ka ehsaas banker aate ho tum,
dusre he pal khushbu banker chale jate ho tum.
Jante ho tanhaiyon se dar lagta hai hame,
fir bhi tanha chhod kar chale jate ho tum.

Y Popey.che.tame Y

Aapka yunhi muskurana yaah rahega,
Chahton ka yeh Zamana yaad rahega,
Aapke saath hamari khusyian banate hai hum,
Aapke kandhon pe aansoon bahate hai hum,
hamare dard main aapka yunhi haath thaamna yaad rahega,
woh pyaaar se hume samjana yaad rahega

Y Popey.che.tame Y

Aaj Chhod Ke Chale Gaye Wo Hume Is Duniya Mein,
Jo Kabhi Bhi Hume Tanha nahi Chhoda Karte The.
Aaj Akele Baith Ke Un Palo Ko Yaad Kar Rahe Hain,
Jin Lamho Mein Wo Kabhi Saath Huaa Karte The.

Y Popey.che.tame Y

Kar sitam kitne bhi mujh par,
is dil me chahat tere naam ki hi hogi.
Khwaish to adhuri hain bahut si magar,
aakhri khwaish tere Didaar ki hogi.

Y Popey.che.tame Y

Kabhi-Kabhi kuch aisa bhi hota hai,
ke ashiqi ka asar zara der se hota hai.
Unhe lagta hai Hum kuch nahi Sochte unke bare me,
Par Har baat me zikr unka hi hota hai

Y Popey.che.tame Y

Chalega mehfil me jab zikr hamara koi,
To tum bhi tanhayi dhundoge aansu bahane ko.
Karoge yaad ek din is pyar ke zamane ko,
Chale jayenge jab hum kabhi na vapas aane ko.

Y Popey.che.tame Y

Ye aarju nahi k kisi ko bhulayen hum,
na tamanna hai k kisi ko rulayein hum.
Bas dua hai us rab se k jisko jitna yaad karte hain,
usko utna yaad aayein hum.

Y Popey.che.tame Y

Teri Chahat mein Hum Zamana Bhol Ga'ey,
Tere Baad Kisi ko Apnana Bhool Ga'ey,
Phir laga Saara Jahan Veerana Hum Ko,
Jese Chaman Mein Phol Mehkana Bhool Ga'ey,
Tum Se Muhabbat He Bataya Saarey Jahan Ko,
Ye hi Baat Tum Ko Batana Bhool Ga'ey,
Hum Ne Mitta Diya Jahan Bi Likha Tha naam Tera,
Magar Apne Dil Se Mittana Bhool Ga'ey,
Wo Juda huway Hum Se Muskarate Huway,
Magar Apni Palkun Se Ansu Hattana Bhool Ga'ey

Y Popey.che.tame Y

phoolon se jkham khane wale,
kanto se pyar kiya karte hai,
zindagi ko rakh kar tarazoo me,
vo maut se aitbaar kiya karte hai

Y Popey.che.tame Y

Maang kar bhi khuda se unhe paya nahi,
kaun sa kwaab tha jise maine sazaya nahi.
Wo to bhul jayenge mujhe malum tha,
maine to koi lamha unhe bhulaya nahi.

Y Popey.che.tame Y

Muhabbat sabko mil jaye ye jaruri to nahi,
vo bhi hame chahein ye jaroori to nahi.
Kuch log bahut yaad aate hain is dil ko,
hum bhi unki yaad ban jayen ye jaroori to nahi.

Y Popey.che.tame Y

Zeene ki ek nai aada di hai,
kush rahne ki usne dua di hai.
Ai Khuda use sara jahan dena ,
jisne apne dil me hame thodi si jagah di hai.

Y Popey.che.tame Y

No comments:

Post a Comment